Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Tuesday 14 June 2016

Aaj Ka Boss Dialogues | Bollywood Hindi Film | Dialouges Status

Aaj Ka Boss Dialogues | Bollywood Hindi Film

Yeh zindagi ek jung ka maidan hai ... yahan sar uthakar jeene ke liye insaan ko har kadam par ladna padta hai ... kabhi waqt ke saath, kabhi halaat ke saath aur kabhi maut ke saath.
Paschatap ke aasoon insaan ke bade se bade paap ko doh dalta hai.
Jurm ki duniya mein wafaadar dost ... kabhi bhi gaddari kar sakta hai.
Dushman ke paas agar taqat ke saath saath dimaag bhi ho ... toh vaar uske haath pe nahi, gardan pe karna chahiye.
Aadmi kitni hi oonchai par kyun na pahunch jaye ... aakash mein ghar nahi bana sakta ... usse sukoon is dharti ki gaud mein hi milta hai.
Adalat se jab kisi ko saza-e-maut milti hai ... toh Rashtrapati ke paas mercy appeal karke maut se bach sakta hai ... lekin Dada Thakur jab kisi ko maut ki sazaa sunata hai ... toh uske liye zindagi ke sare raste band ho jaate hai.
Yeh shehar jurm ka bhayanak jungle hai ... aur main is jungle ka sher hoon.
Jurm ki duniya mein waqt aur mauke ke hisaab se chalna padta hai.
Maut tere liye bahut aasaan sazaa hogi ... main tujhe zinda rakhoonga aur teri har saans mein maut ki bechaini bhar doonga ... taaki tu sari zindagi is hi tarah tadap-tadapkar jeeta rahe.
Yeh woh rasta hai jiske dayen, bayen aur peeche maut ki gehri khai hai.
Insaan duniya ki har jung jeet sakta hai lekin ... maut ke aage usse haarna hi padta hai.

No comments:

Post a Comment