Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Tuesday 14 June 2016

Aaj Ka M.L.A. Ram Avtar Dialogues | Bollywood Hindi Film | Dialouges Status

Aaj Ka M.L.A. Ram Avtar Dialogues | Bollywood Hindi Film 

Zulm aur anyay ke khilaaf pehle hamesha ek hi awaaz uthti hai, ek hi haath uthta hai ... aur phir dheere dheere sarfaroshon ka caravan tayaar ho jaata hai.
Woh log mujhe toh maar sakte hai lekin meri awaaz ko nahi kuchal sakte ... meri awaaz croreon mazdooron ki awaaz bankar un zalimon ke kaano se takrayegi ... mere khoon ke ek ek boond se hazaron lakhon croreon Kranti Kumar pehda honge ... joh is dharti se zulm, anyay aur baimaani ke rakshas ko hamesha hamesha ke liye khatam kar denge ... kranti hogi, poorn kranti, sampoorn kranti!.
Hamare desh mein samajwad kahan hai ... hamare desh mein toh afsarwad hai, jaat-paatwad hai, kursiwad hai ... arre samajwad toh tab aayega jab aap apne vote ki taqat mehsoos karenge.
Jab raajneeti pesha ban jaati hai, vyapar ban jaati hai ... toh kursi desh se badi ho jaati hai.
Yeh joh vote hai na yeh kagaz ka tukda nahi hai ... ki dabbe mein daala aur chal diye ... yeh vote tumhare parivar, tumhare desh, uski unnati ki parchi hai ... yeh toh do dhaari talwar hai joh dono taraf se kaatti hai ... theek jagah pade toh desh khushal aur galat jagah pade toh desh ka satyanash.
Agar usne apna rasta nahi badla toh majboor hokar hum mein apna rasta badalna hoga ... aur woh rasta khoon ke darya se hoke guzrega. 

No comments:

Post a Comment