Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Tuesday 14 June 2016

Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyo Dialogues | Bollywood War Film | Dialouges Status

Ab Tumhare Hawale Watan Sathiyo Dialogues | Bollywood War Film

Ab ke saawan mein yeh shararat hamare saath hui ... hamara ghar chodke saare shehar mein barsaat hui..
Kiski majaal joh chede dilair ko ... gardish mein gher lete hai geedar bhi sher ko..
Aasmaanon se kaho agar hamari udaan dekhni ho, toh apna kad aur uncha karle ... husn waalon se kaho ki agar ishq dekhna ho, toh humse aake mile..
Hoon main parwana magar koi shamma toh ho raat toh ho ... jaan dene ko hoon haazir, koi baat toh ho..
Maa ke doodh mein toh dum hota hi hai ... chahe woh Hindustan ki ho ya Pakistan ki..
Mana ki tu ek insaan hai sari duniya ke liye ... magar sari duniya hai kisi ek insaan ke liye..
Mohabbat rang lati hai jab dil se dil milte hai ... mushkil toh yeh hai, ki dil badi mushkil se milte hai..
Tirchi nigaahon se na dekh aashiq-e-dilgir ko ... kaise teerandaz ho tum, zara seedha toh karlo teer ko..
Na jagde hum apas mein, jagadkar toot jayenge ... tumhara aaina hum hai, humara aaina tum ho..
Dil mein hasratein pehda is liye hoti hai ... ke ek din poori ho sake..
Kya sametega hum mein yeh waqt ka gehra dariya, hum kinaro se ubharne ka hunar jaante hai ... seedhe haatho ne joh kheenchi hai lakeerein tedhi, un lakeeron par chalne ka hunar jaante hai..
Jab uska haath mere haath mein aata hai ... do hatheliyon ke beech ek Taj Mahal ban jaata hai..
Aao jhuk kar salaam kare unhe jinke hisse mein yeh mukaam aata hai ... kis kadhar khush naseeb hai woh log ... khoon jinka watan ke kaam aata hai..
Maut ke mandiyon mein ja-jakar apne beto ki boliyan di hai ... desh ne jab bhi ek sar manga, humne bhar-bharke jholiyan di hai..
Soocha tha khatir karenge hum bemisaal teri ... woh dekh tere ghar waale aa gaye hai utaarne khaal teri..
Tu bhola bhala hai dil, bekaar rulaya jayega ... in shok haseeno se milkar, wallah bahut pachtayega..
Jis desh mein pehda hue ho tum, us desh ke agar tum bakht nahi ... nahi piya doodh maa ka tumne, aur baap ka tum mein rakht nahi..
Humne bahut dekhe hai ishq mein jaan dene waale ... par kya karen huzoor aashiqui dillagi nahi hoti..
Duniya ka aitbaar karen bhi toh kya kare ... aasoon bhi apni aankh ka apna na hua..
Zindagi kamaal hoti hai ... ulhaj jaaye toh jaan lele ... sulhaj jaaye toh bemisaal hoti hai...
Humse woh jhoot bolkar sharma rahe hai kyun ... thodi bahut jhoot ki aadat sabhi ko hai..
Pyar karne waalo ke dil aur jaan kab ek doosre ke ho jaate hai ... unhe khud pata nahi chalta..
Koi toh jalwa Khuda ke vaaste deedar ke kabil dikhai de ... sangdil toh mil chuke hai sainkado ... koi ail-e-dil toh dikhai de..
Khel ke maidan mein jeetna bhi koi jeetna hai ... asli jeetna toh jung ke maidan mein hota hai ... us samay maaro ya maare jao..

No comments:

Post a Comment