Bure waqt se badi khatarnak koi cheez nahi hai is duniya mein
Main jis file ko kholta hoon na ... woh mujrim ko jail mein bandh karne ke baad hi bandh karta hoon
Main bhi kitna harami hoon, dono taraf dhol bajhata hoon ... udhar se maal kamata hoon, idhar se naam kamata hoon
Kagaz phadne se likhai mitt sakti hai lekin sachai nahi
Yahan ki fikar wahan ka khayal rakha hai ... badi ada se dono jahan sambhal rakha hai
Raajneeti ke mandi mein joh sabse sasti cheez bikti hai ... woh hai police
Hum hai police ki naak ke baal, insaaf ki dhaal, havaldar Bankelal ... chal do rupai nikaal
Aankh ka andha toh laathi ka sahara lekar tedhe-medhe raaston par bhi chal sakta hai ... lekin akal ka andha seedhe raaste par bhi thokar ka jaata hai
Jab hum pehda hue the toh raat ke barah bajhe the ... aur raat ke barah bajhe sirf shaitan pehda hua karte hai
Doobara is basti mein Baba Bhatti jab aayega toh zulm ki woh haddi bankar aayega ... joh tumhare gale mein aaise phasegi ... ki na tum usse nighal sakoge, na tum usse ughal sakoge
Gunahghar us waqt tak mashoor rehta hai jab tak police dheel deti hai ... lekin jab police kanoon ki rassi kheenchti hai toh bade bade mujrimon ke gale mein phasi ka phanda hota hai
Meri fitrat hai goongo se bulvana, bhairon ko sunane ke liye majboor kar dena aur jhooton ki zubaan se sach ughalvana
Pachees se tees baras tak ki umar ka pyar ... pukhta, sanjeeda, kisi bade maidan ke seene par behte hue dariya ki tarah gambhir aur shaant hota hai ... aur bees se ekkees ki umar mein ... kisi oonchi pahadi se girta hua apsar ki tarah gungunata hua, athkeliyan sa karta hua ... aur pandra se solah ki umar mein ... paakh, bechain, apne ird-gird ki har cheez se laparwah ... bilkul aapki tarah
No comments:
Post a Comment