Cheetah Dialogues | Bollywood Action Film
Insaan ko zindagi mein sab kuch mil toh nahi jaata ... tamannayein toh bahut hoti hai lekin sabhi poori nahi hoti ... fark sirf itna hai ki kuch log aansoon bahakar jeete hai aur kuch log apne dil ka dard chupakar jeete hai
Jazbaat ki chhot aur dil ka ghaav bahut gehra hota hai ... bahut dard hota hai us mein
Dushman ko maarne ke liye hosh aur awaaz chahiye ... josh aur junoon nahi
Balle O balle ... mujrimon ki anjar panjar dhille ... mooh peele te kapde geele
Hamara yaar toh kanoon ke liye jeeta hai ... vardi ke andar kanooni cheetah hai
Duniya mein insaan sirf apne liye pehda nahi hua hai ... doosron ke liye jeekar dekho ... zindagi ka matlab samajh jaogi
Mera usool hai joh kanoon todne ki koshish kare uska haath todh doon ... joh kanoon ko challenge kare uske jabde todh doon ... taaki woh phir kabhi kanoon todne ki jurrat na kare
Paon utne hi phailane chahiye jitni chaddar ho ... aur farz bhi utna hi nibhana chahiye jitni uski hadh ho
No comments:
Post a Comment