Tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh milti rahi hai ... lekin insaaf nahi mila my lord, insaaf nahi mila ... mili hai toh sirf yeh tarikh
Maidan mein khule sher ka samna karoge ... tumhare mard hone ki galatphami door ho jayegi
Jab yeh dhai kilo ka haath kisi pe padta hai na ... toh aadmi uthta nahi ... utth jata hai
Bijli ka woh jhatka lagega ... ki tu jhatakna bhool jayega
Chilaao mat ... nahi toh yeh case yahin rafaa dafaa kar doonga ... na tarikh na sunwai, seedha insaaf woh bhi tabartop
Judge order order karta rahega ... aur tu pittaa rahega
Aaise khilone bazaar mein bahut bikte hai ... magar isse khelne ke liye joh jigar chahiye na ... woh duniya ke kisi bazaar mein nahi bikta ... mard usse lekar pehda hota hai
Jee karta hai ... tumhari har khwaish, har ichcha ko apna maqsad bana loon
Pyar toh woh vardaan hai ... joh kismat waalo ko milta hai
Sach bolne se kabhi kisi ka nuksaan nahi hua hai ... aur na hi ho sakta hai
Aaisi nass dabaonga ki cheenk nikal jayegi
Yeh adaalat hai, koi mandir ya dargah nahi jahan mannatein aur muraadein poori hoti hai ... yahan dhoop batti aur narayal nahi ... balki thos saboot aur gawah pesh kiye jaate hai
Kabhi kabhi barso saath rehne ke baad bhi koi rishta nahi banta, koi pehchaan nahi banti ... aur kabhi kabhi ek hi mulaqat mein aaisa lagta hai, jaise ki barso se jaante ho
Waqt pe shaadi na karo ... toh aadmi bahek hi jaata hai
Duniya ki har adaalat se badi ek adaalat hai ... woh hai insaan ka apna zameer
No comments:
Post a Comment