Deewaar (1975) Dialogues | Bollywood Thriller Film
Main aaj bhi phenke hue paise nahin uthata
Mere paas maa hai
Aaj khush to bahut hoge tum?
Jab tak ek bhai bol raha hai, ek bhai sun raha hai ... jab ek mujrim bolega, ek police officer sunega
Koi is liye pee raha hai ki din bhar kaam kiya, thak gaye ... koi is liye pee raha hai ki aaj din bhar kuch nahi kiya, bore ho gaye ... koi is liye pee raha hai ki aaj doston ke saath hai ... aur koi is liye pee raha hai ki aaj dost saath nahi
Sapne bhi samundar ki leharon ki tarah ... haqeeqat ki chattanon se takraate hi toot jaate hain
Isse apni jeb mein rakh le Peter ... ab yeh taala main teri jeb se chabi nikaalkar hi kholoonga
Zyada paisa aaye toh neend nahi aati ... neend aaye toh zyada paisa nahi aata
Main jab bhi kisise dushmani mod leta hoon ... saste mehenge ki parvah nahi karta
Tu abhi itna amir nahi hua beta ... ki apni maa ko khareed sake
Jao pehle us aadmi ka sign lekar aao jisne mere haath pe yeh likh diya tha ... uske baad mere bhai tum jis kagaz pe kahoge main uspe sign kar doonga
Suna hai lift ki deewaaron ke kaan nahin hote
Bhai, tum sign karoge ya nahin?
Aaj mere paas buildingey hai, property hai, bank balance hai, bungla hai, gaadi hai ... kya hai, kya hai tumhare pass?
Jis kaam ke liye aapne mujhe rakha hai ... woh kaam kaise kiya jayega ... yeh soochna bhi mera kaam hai
Car se aane waale aksar derr se aate hai
Yeh duniya ek third class ka dibba ban gayi hai ... jagah bahut kam hai, musafir zyada
Jis raaste par main chal raha hoon uska anjaam shayad bura bhi ho sakta hai ... lekin jis raaste pe tum chal rahe ho uska anjaam sirf bura hi hota hai bhai
Uff tumhare ussool, tumhare adarsh ... kis kaam ke hai tumhare ussool ... tumhare saare ussoolon ko goond kar ek waqt ki roti nahi banayi ja sakti
Meri maa mujhe wapas dedo
Paisa nahi toh kuch aur sahi ... har insaan ki koi na koi kamzori zaroor hoti hai
Tumhari jaisi ladkiyan apna naam ... kapdon ki tarah badalti hai
No comments:
Post a Comment