Main tumhe bhool jaon yeh ho nahi sakta ... aur tum mujhe bhool jao yeh main hone nahi doonga
Nafrat ko sirf mohabbat se jeeta ja sakta hai ... sirf mohabbat se
Meri kismat mujhpe kya rohegi ... tumhari mohabbat joh mere saath hai
Koi bhi mazaak karlo ... lekin apne se bichadne ki baat mazaak mein bhi mat karna
Kyun main jeet ke bhi haar gaya ... aur woh haar kar bhi jeet gaya?
Tumhare haathon mein woh rekhayein hai, joh mere haathon mein nahi hai ... tumhare maathe pe woh lakeerein hai, joh mere maathe par nahi hai
Joh izzat, shradha, pyar ek beti de sakti hai ... woh ek beta kabhi nahi de sakta ... lekin main yeh bhool gaya tha ... joh sharmindgi, joh zalalat ek beti de sakti hai ... woh bhi ek beta kabhi nahi deta
Bahut waqt ke baad ... yeh waqt aaya hai
Kaun saala marta hai ... aur agar marr bhi gaya memsaab ... toh hamesha ke liye dhadkunga tumhare seene mein ... tumhari dhadkan bankar
Tum log sab jhoot bol rahe ho ... najane kitne din, kitne mahine, kitne saal jhoot pe jhoot pe jhoot bolte aaye ... aur main chup chap bardaasht karta raha
Main tumhari har baat manne ko tayaar hoon, lekin yeh baat manne ko tayaar nahi ki iske charitra pe daag hai
Is janam toh kya ... woh saat janamon tak jeet nahi sakta
Hamare gehre vishvas ke rishtey mein ... tumne apne dil mein kuch gehre raaz chupaye hai
Syana woh hota hai joh waqt ke rukh ko dekhkar, jhukna seekhe ... aur rukh badalte dekhkar, dushman ko jhukana seekhe
Duniya mein shayad hi aise koi maa baap honge joh apni aulaad ko zakhm dena chahenge ... lekin na jaane kitni aisi anginat aulaadein hai ... joh apne maa baap ka seena zakhmon se challi kar dalti hai aur uff tak nahi karti
Tu kal bhi badtameez tha ... tu aaj bhi badtameez hai
Achchai se hi burai ko maara ja sakta hai ... neki se hi baddi ko mitaya ja sakta hai ... shanti se hi kisi ki mann ki jalan ko hataya ja sakta hai
Iski subah suna rahi hai iske raat ka fasaana
Rishteydari ki keemat toh chukani hi padti hai is desh mein
No comments:
Post a Comment