Gyan aur agyan mein antar hi kya hai ... kewal ek akshar ka ... lekin arth mein satyug aur kalyug ka sa bedh hai
Is sansar mein koi manav poorna buddhiman nahi hota ... Brahma srishti rachate hai, Vishnu uski raksha karte hai aur Shiv usko nasht karte hai
Jab koi apradh vichar kiye bina kiya jaata hai ... usse bhool kehte hai ... lekin vichar ke saath kiya hua apradh ... nishchit apradh hi kehlata hai
Yeh charon aur phaili hui dharti par rehne waale logon ki kewal ek hi jaat hai ... manushya jaat
Jaise hi fasal pak jaye toh rakhwaale ki zaroorat hoti hai ... vaise hi ladki jawan ho jaye toh gharwaale ki zaroorat hoti hai
Karam karna manav ka dharam hai ... aur uska phal dena bhagwan ke haath mein hai
Aankhon se ojhal hone ka dukh toh aadmi sehan kar sakta hai ... kyun ki us mein jeevan ki ek dhara behti rehti hai ... lekin jeevan jab mrityu ka roop dharan kar leta hai ... toh sari ashaon ka anth ho jaata hai
Jiske mann mein vasna ho ... woh har kisi ko vasna ke adhin samajhta hai
No comments:
Post a Comment