Ghar ka doodh chahe jitna shudh ho ... baazar ki chai peene ka kuch mazaa hi aur hota hai
Duniya mein sab kuch mil jaye, sab kuch ... lekin maa nahi mili, toh samjho kuch nahi mila
Agar tum mere aur meri duty ke beech aaye ... toh main tumhare aur tumhari saanson ke beech aa jaonga
Joh log aag aur tezaab se bhi nahi jalte ... woh kabhi kabhi aasoonyon se jal jaate hai
Kal jab suraj doobega toh sirf aasman hi nahi ... hamare dushmano ke khoon se dharti bhi laal ho jayegi
Oonchai par rehne waale ko har waqt sar jhukakar baat karni padti hai ... aur neeche waale hamesha sar uthakar baat karte hai
Poore tirange ki toh baat hi chhodo ... iske ek ek dhage par jaan lutane waale kal bhi lakhon the aur aaj bhi lakhon hai ... Jai Hind!
Marna toh ek din sabko hai, lekin mujhe uski maut ... maut se pehle chahiye
Main bhi azaadi ke pehle waali aurat nahi hoon ... joh chehre ki aarti utara karti thi ... main toh un mein se hoon joh badan se chehra utaar leti hoon
Main tumhe ek saath kahi mautein doonga
Zalim aakhir bahut kangaal hote hai ... woh maut ke alava aur kuch nahi de sakte
Auraton ke taanon se toh barf se bhi sholay uthne lagte hai
Reghistan chahe kitna hi bada ho ... usse zyada vazan us mutthi bhar mitti ka hota hai ... jisne kisi paudhe ko janam diya ho
Aadmi chahe jitna bhi teda ho ... arthi sabki seedhi hi nikalti hai
Oonchai se pani ki dhar bhi gire ... toh pathar mein suraakh ho jaata hai
Joh awaaz bhooke pet se nikalti hai ... woh door door tak jaati hai
Mere suhaag mein bhale hi khot tha ... lekin mere sindoor mein koi milavat nahi thi
Duniya mein hajaam aur doctor hi aaise hote hai ... jinke haathon mein ustra hone ke bawajood bhi ... haskar log unke samne gardan jhuka dete hai
Ek vidhva stree us maumbatti ki tarah hoti hai jis mein dhaga nahi hota ... aur aaisi maumbatti aag se pighal toh sakti hai lekin jal nahi sakti
Mohabbat husn nahi dekhta aur inteqam umar nahi dekhta
No comments:
Post a Comment