Dil Aashna Hai Dialogues | Bollywood Romance Film
Har tawaif dalle se zyada pyar ke shabd se nafrat karti hai
Sar par chhat ho na ho ... paon ke neeche ek zameen ka tudka toh chahiye
Bachchon ke liye kitaabein likhna bahut asaan hai ... magar unke liye loriyan gaana bahut mushkil haiPyar bheek se nahi milta
Haar tab hoti hai jab haar maan li jaye
Aisa hamesha zaroori nahi hai ki jis raaste par maa baap chale ... ussi raaste par aulad bhi chale
Jalan ka bhi mohabbat mein ek khaas maqam hai
Khilono aur tohfo ki bachchon ko itni bhook nahi hoti jitni maa baap ke pyar ki
Dalle aur pille ke saath ek jaisa suluk karna chahiye ... agar baat se na maane, toh laat maarni chahiye
Jitna bada aadmi, utna hi lamba intezaar
Sharton par pyar nahi hota
Khata ek pal ki hoti hai ... lekin uski sazaa saalon saal tak bhugatni padti hai
Jaane kya badalon ke darmiyan saazish hui ... uska ghar mitti ka tha, uske hi ghar baarish hui
Jhoot ka bhi rajneeti mein ek khaas maqam hai
Ishq ke saamne zamane waale haarte aaye hai
Duniya mein tu aayi hai ashk peene ke liye ... muskurana hi padega tujhe jeene ke liye
Ladki aisi honi chahiye ... thodi si namkeen, thodi si khatti, thodi si meethi ... rang aisa ki chandni ki ujaale mein jaise thoda sa shaam ka andhera shamil ho
Sharifon ka libaaz pehenne se ... awargi sharafat nahi ban jaati
Jawani bhi aisi hi car hai jis mein brake nahi hota
Unke dekhne se joh aa jaati hai chehre pe raunak ... woh samajhte hai bimaar ka haal achcha hai
Halaat ki majboori se agar insaan keechad mein gir jaaye ... toh uska khoon ganda nahi ho jaata
Race mein daudte waqt khiladi ke paon jitni tezzi se uthte aur girte hai ... utni hi tezzi se naachte waqt kisi tawaif ke paon uthte aur girte hai ... speed barabar hoti hai, par khiladi apni race jeet leta hai ... aur tawaif naachte naachte ek hi jagah par apna dum todh deti hai
Chor jab maal pakadta hai, toh usse tijori thodi yaad rehti hai?
Yeh zindagi, milna bichadna ... sab lakeeron ka khel hai
Yaadon ka insaan ki zindagi mein ek khaas maqam hai
No comments:
Post a Comment