Dil Deke Dekho Dialogues | Bollywood Romance Film
Marzi ho toh sooli par chadana ya rab ... sau baar jahannam mein jalana ya rab ... lekin mashooq kahen aap hamare hai buzurg ... na cheez ko yeh din na dikhana ya rab
Achcha dost aur achcha pati ... kismat waalon ko hi milta hai
Yahi hai zindagi apni, yahi hai bandagi apni ... ki unka naam aaya aur gardan jhuk gayi apni ... na bhut khane ko jaate hai, na kaabe mein bhatakte hai ... jahan tum paon rakhte ho, vahan hum sar patakte hai ... hum ishq ke maaron ka itna hi fasana hai ... rone ko nahi koi, hasne ko zamana hai
Tum aa rahi ho zamane ki aankh se bachkar ... nazar jhukaye hue aur badan churaye hue ... khud apne kadamon ki aahat se jhebti, darti ... khud apne saaye ki jumbish se khauf khaye hue
Achcha dost aur achchi patni ... kismat waalon ko hi milti hai
Jis insaan ko maa ki mamta naseeb nahi hui ... us jaisa koi badnaseeb nahi
No comments:
Post a Comment