Dil Ka Kya Kasoor Dialogues | Bollywood Romance Film
Jab kisi saaz ka dil tootta hai ... toh dard ki teez bahut der tak uthti hai
Ya toh tum overconfident ho ... ya phir nihayati bewakoof
Bazaar ke chaurahe par bikne waali koi ashleel kitaab nahi hai hum ... jiske panne har koi palatta rahe aur hamare mooh par thookta rahe
Ek pati jab apni patni se nazaren churane lagta hai ... toh aurat samajh jaati hai ki uski grahasti ki buniyaad ko deemak lag chuka hai
Kaunsa kasoor hai mera ... jiski sazaa tu usse de raha hai aur hisaab meri kitaab mein likha ja raha hai
Zid se sirf do hi baatein hoti hai ... aadmi ya toh banta hai ya bighad jaata hai
Yehi hai woh hasti jisne tumhe kamyabi ki woh seediyan taaki joh sitaron se bhi upar jati hai ... yehi hai woh jisne shauharat ka aasman baksha hai tumhe ... apne dard ko shabdon mein goond kar tumhare sangeet ko zindagi deti rahi
Awaaz aur suron ka mazaa tabhi aata hai ... jab geet ke bol achche ho
Khush kismati baar baar darwaze par dastak nahi deti
Jazbaati hona achchi baat hai ... lekin jazbaat mein beh jana ... no ... yeh insaan ko kamzor bana deta hai
Main apne khoon ke har ek katre ko jalakar uske raste ke diye jalaongi
No comments:
Post a Comment