Dulhe Raja Dialogues | Bollywood Drama Film
Daulat ka kya hai, woh toh aati jati rehti hai ... magar beti toh ghar ki izzat hai ... aur izzat ek baar chali jaye toh woh laut kar vapis nahi aaya karti
Aaj tak mujhe tum jaisi koi ladki dikhi hi nahi ... dikhi hai toh mili hi nahi ... mili nahi toh baat bani hi nahi ... baat bani nahi toh baat aage badhi hi nahi ... isliye main zindagi mein peeche reh gaya
Meri maa ne kaha tha ... ki jab bhi koi buzurg tum par haath uthaye, toh uska jawab muskurakar dena
Yeh andhere mein hazaar volt ke jhatke kyun de rahi ho? ... mere dil mein na jaane kaise kaise bulb jal uthe
Haraam ki daulat, zabardasti ka pyar aur ganda badbudar khana ... in teeno ka ek hi hashar hona chahiye ... inhe uthakar kachre ke dabbe mein phek dena chahiye
Mann mein itna loud baat karoge toh awaaz toh aayegi na
Zara hum mein bhi batting karne do yaar ... taki hum bhi batayein ki ball stadium ke bahar kaise jata hai
Ummeed ka diya toh zindagi ka diya bujhne ke baad hi bujhta hai
Log toh aasteen mein saanp paalte hai ... lekin tum toh aasteen ke bichhoo nikle
Ek juari ki haar ya jeet ka faisla tab hota hai ... jab woh apne saare patte khol deta hai
Uski wajah se mera blood pressure, pressure cooker ki mafik itna upar chad jata hai ... ki chaaro taraf se seetiyan bajne lagti hai
No comments:
Post a Comment