Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Saturday 9 July 2016

Fanaa Dialogues | Bollywood Thriller Film | Dialouges Status

Fanaa Dialogues | Bollywood Thriller Film

Humse door jaoge kaise, dil se hum mein bhulaoge kaise ... hum woh khushboo hai joh saason mein bastein hai, khud ki saason ko rok paoge kaise
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte ... jaam doosron se cheenkar hum piya nahi karte ... unko mohabbat hai toh aakar izhaar karen ... peecha hum bhi kisika kiya nahi karte
Tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaye ... tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaye
Bhool karke agar humse koi bhool hui ho, toh bhool samajhkar bhula dena ... lekin bhulana sirf bhool ko, galati se bhi hum mein na bhula dena
Aag suraj mein hoti hai, jalna zameen ko padta hai ... mohabbat nigahein karti hai, tadapna dil ko padta hai
Kehte hai pyar mein neend udh jaati hai ... koi humse bhi mohabbat kare ... kambhakt neend bahut aati hai
Pani se pyaas nah bhuji toh maikhane ki taraf chal nikla ... soocha shikayat karoon teri khuda se ... par khuda bhi tera aashiq nikla
Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath ... liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath
Phool hoon gulaab ka chameli ka mat samajhna ... aashiq hoon aapka apni saheli ka mat samajhna
Insaan ki khwaish ki koi inteha nahi ... do gaz zameen chahiye do gaz kafan ke baad
Agar andha hota, toh duniya ki sabse haseen cheez dekh nahi pata ... aap
Dard se aankhen chaar kar lenge, hum bhi imtihaan de denge ... teri dosti ke khatir aye dost, hum dushmano se bhi pyar kar lenge
Behti hai hoton ko seekar, pachtayengi aap ... ishq jaag uthta hai aksar, aaisi khamoshi ke baad
Sahi aur galat ke beech faisla karna bahut aasaan hai ... lekin do sahi raasto mein se behtar chunana aur do galat raasto mein se munasif ... yahi hamari zindagi ke faisle karte hai
Jaan usse do joh apna dil tumhe de ... lekin apna guroor sirf us pe kurbaan karo ... joh tumhare pyar mein fanaa ho jaye
Tumhari khoobsurati ne khuda se khatta kara di ... kahin khud se nazar na lag jaye ... yunkar tumhe nazar na di
Adhoori saans thi, dhadkan adhoori thi, adhoore hum ... magar ab chaand poora hai falak pe ... aur ab poore hai hum
Tujhe is bazaar ka dastoor main samjha nahi sakta ... bik gaya joh woh khareedar ho nahi sakta
Na shehar dekho na biyabaan dekho ... khuda ka eklauta naam-o-nishaan dekho ... bas aankh uthao aur Rehan dekho
Sharaab peene de masjid mein bahetkar ghalib ... yah woh jagah dikha de jahan khuda na ho
Kabhi kabhi ek aadmi ka sahi ... doosre ka galat ho sakta hai
Kaash mein oon ka gola hota ... aur unki ungliyon mein lipta hota
Hum aaj joh faisla karte hai ... wahi hamare kal ka faisla karega

No comments:

Post a Comment