Main jitni muddat tak jail mein rahoonga ... apne dil mein nafrat ka zehar ikhatta karta rahoonga ... aur jab jail se chootunga toh us zehar se tumhare poore khandan ko jalakar khaakh kar doonga
Sher ke mooh ko jab insaan ka khoon lag jaata hai ... tab usse kisi aur janwar ke shikaar mein mazaa hi nahi aata hai ... issi tarah ek baar jurm ki kamai khoon mein utar jaaye ... toh halaal ki kamai khane mein mazaa hi nahi aata hai
(Kaun ho tum?) ... Zulm ke andhere mein kanoon ki roshni ko jalakar ... masoomon ko zindagi dekar ... zaalimon ko maut ki neend sulaane waala ... inspector Ranjit Kumar
Is duniya mein izzat ki nahi, balki daulat ki zaroorat hoti hai ... aur daulat jiske paas hoti hai, izzat khud-ba-khud aakar uski chaukhat pe apna sar jhuka deti hai
Apne aadmiyon se kaho ke bandookein phenk de ... nahi toh goli chalegi Naagraj ... aur teri khopdi mein itna bada suraag ban jayega ... jiske andar naag apna bil banayega
Duniya mein sirf ek hi sambandh hai ... pati patni ka sambandh, joh jeete jee toot nahi sakta ... baki saare rishtey toh aasmaan mein badalon ki tarah hote hai ... joh hawa ek jhaunke se toot jaate hai
Main daulat ke maidaan mein gareeb zaroor hoon ... lekin imaandari aur sharafat ke maindaan mein bahut zyada amir hoon
Suraj raat ko nikal sakta hai ... farishtey jhooth bol sakte hai ... chaand aag barsa sakta hai ... magar Ranjit Kumar apne desh ko, apne kanoon ko dokha de ... yeh kabhi nahi ho sakta, kabhi nahi ho sakta
Yeh rishtey toh pehda hone se pehle hi uparwaala muqadar ki kitaab mein likh deta hai ... us likhai ko badalna hamare bas ki baat nahi hai
Bachpan mein baap ke kahe huye kadve shabd ... aane waali zindagi mein shakkar ghol dete hai
Dukh aur sukh ki tarah galatiyan bhi aadmi ke muqadar mein likhi hoti hai ... galatiyan karke joh pachtata hai wohi insaan kehlata hai
Jiski zaroorat ho usse gale laga lo ... aur jiski zaroorat nahi hai uska gala kaat dalo
No comments:
Post a Comment