Geraftaar Dialogues | Bollywood Drama Film
Gareebon ko naukri se nikaal nikaal ke amir log thak jayenge ... magar uparwala naukri dete dete kabhi nahi thakega
Jab pyar ki aag ek baar jalti hai ... toh woh kabhi nahi bujhti
Socho kuch, bolo kuch, dekho kuch, dikhao kuch, karo kuch ... ho jaye kuch ... samajh mein aaya kuch?
Har paida hone waale ko marte waqt kafan pehenna padta hai ... vaise hi har kaale dhande karne waale ko hathkadi pehenni padti hai
Taala mazboot hone se kuch nahi hota hai ... darwaza mazboot hona chahiye
Kanoon banane se pehle kanoon todne waale paida ho gaye the
Buzdilon ki goliyan Karan ka seena dekh kar apna rukh badal leti hai
Devi devta naraaz ho jaye toh aadmi pareshan ho jaata hai ... lekin aadmi naraaz ho jaye toh devi devta parwah hi nahi karte
No comments:
Post a Comment