Ghayal Dialogues | Bollywood Drama Film
Jakh marti hai police, utaar kar phenk do yeh vardi aur pehan lo Balwant Rai ka patta apne gale mein ... you bastards
Rishwatkhori aur makaari ne tum logon ke jism mein maa ke doodh ke asar ko khatam kar diya hai
Andhe behron ka shehar hai yeh ... patthar hai yeh sab ke sab ... yahan toh bas sarr phoda ja sakta hai
Jakar dumm hilana unke samne ... talwe chatna ... botiyaan phekenge botiyaan!
Woh aayega, zaroor aayega ... aur apne saath ek aaisa toofan layega ... jisse tumhari yeh maut ki factory, reth ke gharonde ki tarah deh jayegi
Main tera woh hashar karoonga ... ke tujhe apne pehda hone par afsoos hoga
Aane waale chaubis ghanto mein tumhare chaubis tukde karke ... har tukde ka alag alag antim sanskar karoonga
Joh zindagi mujhse takrati hai ... woh sisak-sisakar dum todhti hai
Is chot ko apne dil aur dimaag par kayam rakhna ... kal yahi aasoon kranti ka sailaab bankar is mulk ki sari gandagi ko baha le jayenge
Tumhari oonchi shakhsiyat ... aur sharifana libaas ke peeche chupe shaitan ko main pehchaan chuka hoon
No comments:
Post a Comment