Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Saturday 16 July 2016

Heer Raanjha Dialogues | Bollywood Drama Film | Dialouges Status

Heer Raanjha Dialogues | Bollywood Drama Film

Basakar dilon ko mittati hai duniya ... hasakar hamesha rulati hai duniya
Chedke dil ke tootte taaron ko, ab tum uski sadaa se darte ho ... khud hi toofan uthaye hai tumne, aur khud hi hawa se darte ho
Yun toh duniya ne bhi teer maare bahut ... yaad aayenge ehsaan tumhare bahut
Kya milega bhala rulaake mujhe ... paoge kya jala jalake mujhe
Tu jab aa jaati hai paas ... bhook mar jaati hai, jaag uthti hai pyaas
Tune sab paaya hai, aashiq ki nazar paayi nahi ... jabse dekha tujhko duniya ki taraf dekha nahi ... jabse chaha tujhko apni yaad bhi aayi nahi ... tukhjo paana zindagi hai, tujhko khona maut hai ... aur kuch iske sivah mere fasaane mein nahi ... maang loonga mein khuda se yah chura loonga tujhe ... tujhsa moti doosra uske khazane mein nahi
Ishq jis mein basa nahi rehta ... aaise dil mein khuda nahi rehta
Dhong shaadi ka tumne rachaya fisool ... na kiya na karoongi yeh rishta kabool
Tere zakhm meri tadap se harre hai ... meri aankh mein tere aasoon bhare hai
Zara yeh raat dhalne de, nasha tera utaroonga ... jawaani bhool jaye ishq, tujhko aaise maroonga ... andhere mein agar maara toh kehlaonga main buzdil ... tadap le raat bhar, pehli kiran hogi teri kaatil
Usse kehna ke tum mera ek khwab ho, joh chamakta hai dil mein woh mahatab ho ... usse kehna ke gehuyon ke kheton ka rang, tilmilati hui titliyon ki umang ... usse kehna ke jharnon ka chanchal shabaab, ghat ki taazgi, aabroo-e-janab ... usse kehna ke jhoolon ki angdaiyan aur udhte dupatton ki shenaiyan ... usse kehna ki chakki ke geeton ki aag, ladkhadati jawaani, machalta suhaag ... usse kehna ke dulhanon ke kajal ki pyaas, pehle bhose ki garm aur thandi mithaas ... itni ranginiyon ko jab ikhja kiya, Heer kudrat ne tab tujhko pehda kiya
Meri subahon ko roshni dedo ... meri shaamon ko chandni dedo ... mujhko tum meri zindagi dedo
Layega mere dil ki tadap, koi kahan se ... sunna hai mera haal, sunno meri zabaan se
Humse na kar mastiyan, mar gayi kya teri bhabhiyan ... ek do bhi nahi aath hai, tabhi toh iske yeh thaat hai
Mohabbat ka tamasha ishq ki taseer dekhoge ... mere seene mein dil mein Heer ki tasveer dekhoge
Meri nazar ne husn ka jadoo jaga diya ... tujhko sajaake aur bhi katil bana diya
Doori kabhi palbhar ko gawara na karenge ... agar jee na sake saath toh hum saath marenge
Kaunsi gutthi hai woh joh humne suljahi nahi ... aaisi fariyaad aaj tak darbar mein aayi nahi
Jhoot ki boo tumhari baat mein hai ... lao koi gawah saath mein hai?
Koi ladki dabaav mein aake, darke, majboor hoke, ghabrake agar hui ho nikaah par raazi ... shaadi jayaz nahi hai woh qazi
Jism-e-nazuk mein jaan khuda ki hai, mooh ke andhar zubaan khuda ki hai ... jab bhi bologe sach hi bologe, varna hargiz zubaan nahi khologe
Sharmati hai kyun aaj meri baahon mein aake ... le jaonga ek din tujhe doli mein bithake
Haqeeqat khul gayi teri ki tu kaisa gavala hai ... kamine dushmano ke gaon ka tu rehne waala hai
Ishq se joh bacha nahi rehta ... woh kisi kaam ka nahi rehta
Laila ke aangan mein joh bhangra ho gaya ... Majnu naacha aur yoon naacha ke langda ho gaya
Khuchal doonga, masal doonga, jala doonga, loota doonga ... rulaya mujhko kismat ne ... main duniya ko rula doonga
Makkhiyan behte na kyun kabar pe saudai ki ... uski mashooq thi beti kisi halwai ki
Kya khadi baatein banati hai ... khuda ka khauf kar, kyun aag is ghar mein lagati hai ... zara soorat toh dekh apni, tujhe Raanjha satayega ... tu jis raste se guzregi, woh us raste na jayega
Doli se main jab utroongi hairan na hona ... mar jaon khushi se toh pareshan na hona
Chandni aanchal mein bhar layi hai tu ... raat yeh chamki hai jab aayi hai tu
Baarat mein halki si jhalak apni dikhake ... chhoda mujhe is husn ne deewana banake ... doori na hui dil ko kisi tarah gawara ... chhod aaya hamesha ke liye takht hazara
Kyun matakti hai bahut ... aaj tanhayi khatakti hai bahut
Milke tanhai ka ehsaas usne doona kar diya ... dil kiya aabad kuch aaise, ki soona kar diya
Chand ubharta hua, bujhte huye chehre dekho ... chandni chhitki hai, cha jaye andhera jaise ... is tarah tootkar bhikre hai zameen par sapne ... lut gaya ho kisi baraat ka dera jaise
Hum mein lagi hai joh thokar, tu muskurata hai ... yeh waqt woh hai, ki dushman bhi raham khata hai
Gazab ki maang hoti hai joh dil ko maang leti hai ... ek aaisi taang hoti hai joh dil ko taang deti hai
Raah ke kaanton se bhi ab ishq ghabrata nahi ... kya qayamat hai kahin dil ko karaar aata nahi
Ek umeed kahi rang se lehrai hai ... dil mein aayi hai toh duniya mein bahaar aayi hai
Shaadi ki tamanna thi kunware chale aaye ... jaise gaye vaise hi bechare chale aaye
Sab apni soochte hai, sabko dhyan hai apna ... yahi hai rang toh poora na hoga ek sapna
Jawaani ek din humpar bhi aayi thi ... kisi se pooch le, us waqt bhi mehnat ki khai thi
Tumne sar par isse chadaya tha, tumne itna kiya hai isko kharab ... tumhi har baat iski sunte the, tumhi dena biradari ko jawab
Soochne ke waqt kahan, yeh koi aur gul khilayegi ... baat jungle ki aag hoti hai, lakh rokoge phail jayegi
Koi mujhpar taras nahi khaata, koi patthar pighal nahi paata ... koi sunta nahi meri fariyaad, ek main aur saikadon jallad
Sui aur wagi lo aur pyar ke dhaage ... seeyo kapde pehenke jinko jadoo jism ka jaage
Kismat hai ki zinda bach gaye pyare ... na jaane dakuyon ne is jagah kitne jawaan maare
Na tumko fikar, na bhai ko gham gharane ka ... khayal aaya kabhi mera ghar basaane ka ... diya kahin mera pehghaam, tumne cheddi baat ... zara bhi ki kabhi koshish, sajje meri baraat
Jaise taise taalo isse ... lula landa jahan koi mil jaaye haath peele karo, nikalo isse
Tu kya bolega deewane ... hamare ghar mein pehda ho gaya tu kaise, kya jaane

No comments:

Post a Comment