Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Saturday 16 July 2016

Himmatwala (2013) Dialogues | Bollywood Action Film | Dialouges Status

Himmatwala (2013) Dialogues | Bollywood Action Film

Na main Dilli waala, na main CBI waala ... ek behen ka bhai, ek maa ka beta ... himmatwala!
Kasam hai mujhe apni maa aur apni behen ki ... teri zindagi ki maa behen kar doonga
Maa Sherawali ka haath hai mujhpar ... chahe saikadon dushman aa jaye zameen par ... ek ek ko zinda ghaad dega yeh himmatwala ... yahinpar
Sare kagazat mujhe chahiye do din mein ... kyun ki teesra tum logon ka chautha hoga
Jaise ek roti ki ahmiyat ek bhookha jaanta hai ... zindagi ki ahmiyat ek marne waala jaanta hai ... vaise hi maa ki ahmiyat sirf ek anaath hi jaan sakta hai
Izzat aur jaan do aaisi cheezein hai ... joh ek baar chali gayi toh vapas nahi aati
Yeh panvati laya, main unnati laonga ... yeh katauti laya, main pragati laonga ... yeh durgati laya, main garbhvati laonga
Ek hi reet sada chali aayi ... under the table upar ki malai
Mujhe maaf karde ... mere paap ke kachre ko apne imaandari ke jhadu se saaf karde
Aasoon ki keemat tab pata chalti hai ... jab khud ki aankhon se bahe
Haath mein rakhiye note ... with a smile on your honth
Laaton ke bhoot jab nahi maane baat ... toh kheench ke dedo unke bum pe laat
Usse itna rula ... ki woh hasna bhool jaye
Badkismati toh hamari behen, bahu, betiyon ki hai ... is desh mein janam lene se pehle kok mein jaan ka khatra ... aur janam lene ke baad izzat ka ... magar aaj ke baad aaisa nahi hone waala ... kyun ki jab jab kisi aurat par zulm hoga ... tab tab har insaan banega himmatwaala
Agar tum logon ne dikhaye tevar ... toh teri beti kuvaari maa forever
Mujhe ulloo banao ... ulloo samjho mat
Itihaas ki ek bahut buri aadat hai ... woh kabhi na kabhi phir se daurati zaroor hai
Gareeb ke paas sirf do hi cheezein hoti hai ... sar par izzat ki pagdi aur pairon mein mehnat ki chappal ... aur jab sar ki pagdi uchalti hai toh pairon ki chappal haath mein aa jaati hai
Kerala ke karele se Bareilly ki barfi banta ja raha hai tu
Yeh haath hai ki hathoda ... keedon ki basti mein kaunsa aa gaya makauda
Sher din mein athra ghante soota hai ... lekin jab jaagta hai tab sabko sula deta hai
Pehle toh woh khada tha Gandhi ki tarah ... phir mujhe jhad diya aandhi ki tarah ... aur yeh tumhare pehalwan sab gir gaye maachis ki kaandhi ki tarah
Dooriyan jab badti hai ... toh nazdeekiyan bhi phir utni hi ghatti hai
Duniya waalo mujhe na dikhao aaina ... nahi toh main bolonga "Made In China"
Purane khandar ki giri hui deewar pe tangi hui badsurat tasveer ke peeche chupi hui gadni chipkali ki phad-phadati pooch pe lehrati hui cheenti

No comments:

Post a Comment