Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Tuesday 19 July 2016

Jaanwar Dialogues | Bollywood Drama Film | Dialouges Status

Jaanwar Dialogues | Bollywood Drama Film

Hum gareebon ke paas ek hi chaddar hoti hai ... joh aankh khuli rehne tak oodhi jaati hai ... aankh bandh ho jaane ke baad us hi ka kafan bana diya jaata hai
Gareebi se bada is duniya mein koi shraap nahi hai ... aur bhook se bada koi dukh nahi
Itne barson ke baad aaj tu mujhe mila ... khush hone ke bajaye seedhe aag ughalne laga
Ek shareef aadmi doosre shareef aadmi ko bhool sakta hai ... lekin ek gunehgar doosre gunehgar ko nahi bhoolta
Chaaron aur kudrat ka phaila kaisa yeh andhera hai ... maut ka taandav hai, gidhon ka dhera hai ... na pedhon ki chaanv hai, na kahin basera hai ... is bhayanak baat ka nahi koi savera hai ... maut ke khel se bachne bhaag rahe hai yeh log ... is hi dharti se judhe the, kyun bhool rahe hai yeh log ... dukh, peedha aur chaaron aur nirasha hai ... na jeene ki aur na jeevan ki asha hai ... kahin bhi duniya mein na padhe dharti par sookha ... insaan sab kuch seh sakta hai, par nahi reh sakta bhookha
Zindabad, murdabad ... Hyderabad, Ahmedabad ... aaise mein yeh gareeb toh ho jaaye na barbaad
Jurm ki duniya mein aane ke anginat raaste hai ... lekin yahan se bahar jaane ka koi raasta nahi hai

No comments:

Post a Comment