Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Wednesday 20 July 2016

Jaisi Karni Waisi Bharni Dialogues | Bollywood Drama Film | Dialouges Status

Jaisi Karni Waisi Bharni Dialogues | Bollywood Drama Film

Haraam ki daulat insaan ko shuru shuru mein sukh zaroor dilati hai ... magar baad mein le jaakar ek aaise dukh ke sagar mein dhakel deti hai ... jahan marte dum tak sukh ka kinara kabhi nazar nahi aata hai
Agar insaan dukh se dosti karle ... toh phir zindagi mein kabhi usko sukh ki tamanna hi nahi rahegi
Sukh toh bewafaa tawaif ki tarah hai ... joh aaj iske pass, kal uske pass
Jahan paisa roti ki hadh se badh gaya ... wahin insaan baimaani ke daldal mein gadh gaya
Insaan ki zindagi ek aaine ki tarah hoti hai ... farak itna hai ki aam aaine mein hum joh harkat karte hai uski tasveer us hi waqt nazar aa jaati hai ... magar zindagi woh aaina hai ki aaj kiya hue harkat ki tasveer barso baad nazar aati hai
Yeh zindagi ek khet ki tarah hai jahan insaan ... kisan ki tarah paap aur punya ke beejh bohta hai
Tumhari umar mere tajurbe se bahut kam hai ... tumne utni Diwaliyan nahi dekhi hai jitni maine tum jaise bikne waalon ki barbaadiyan dekhi hai
Jaane do isse ... is waqt yeh khudgarzi ke ghode pe savar, barbaadi ke toofan mein udhta hua chala ja raha hai ... aur aaise sawar ko waqt ke thappad aur zamaane ki thokar ke sivah koi nahin rok sakta hai
Aaj kal ke yug mein har cheez ke daam bhad gaye hai ... magar aadmi ki nazar mein insaaniyat ke daam ghat gaye hai
In duniya mein jis insaan ke paas har sawaal ka jawab nahi hota hai ... kabhi kabhi uski apni zindagi sawaal ban jaya karti hai
Hasso mat ... aaj se tumhare rone ke din shuru ho gaye hai
Main toh aapse dur rehna chahta hoon ... magar yeh kambhakt haath uchal uchal ke, uchal uchal ke ... tumse chipak jaata hai
Humse takrane waale ka ek hi anjaam hota hai ... jisse Hindi mein maut aur angrezi mein death kehte hain
Bahut oonchi boli bolta hai tu ... magar aaj main tujhe itna ooncha pahuncha doonga ki hamesha ke liye bolti bandh kar doonga
Shabdon ke teer maar maarkar mujhe aur zakhmi mat kar
Mujhe hisaab kitaab karna bahut achchi tarah se aata hai
Aapne joh samjhaya meri samajh mein kuch nahi aaya ... kyun ki aapki joh samajh hai na meri samajh ki samajh se bahar hai
Aulad ki judai ka dard ... maut ke dard se bhi zyada hota hai

No comments:

Post a Comment