Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Wednesday 20 July 2016

Jeene Nahi Doonga Dialogues | Bollywood Action Film | Dialouges Status

Jeene Nahi Doonga Dialogues | Bollywood Action Film

Main teri itni botiyan karoonga ... ki aaj gaon ka koi bhi kutta bhookha nahi soyega
Barood tumhare andhar bhi bhara hai ... bomb mere seene mein bhi sulag rahe hai ... dhamaka jab hoga bade zor ka hoga
Aandhiyon ke darr se log apne hi diyon ko apni hi phoonkon se bhujane lagenge ... toh mohabbat ki duniya mein sirf andhera reh jayega
Aaisi bahut si aandhiyan aayi aur chali gayi ... lekin koi is pahad ke seene mein chhed nahi kar saka
Duniya mein jeene ke sirf do hi tareeke hai ... ya toh aadmi deewaron ke neeche dab jaye ... ya phir deewaron se upar uth jaye
Likhne waalon ke kalam toot gaye lekin meri kahaniyan phir bhi poori na ho saki
Mujhe iska itna lahu bahana hai ... ki yeh safed ho jaye aur dharti laal
Zindagi band ghar ka diya banke reh gayi hai ... joh na achchi tarah se jal sakta hai aur na hi poori tarah se bhujne mein aata hai
Zulm ki talwar jab bhi mayaan se bahar nikalti hai ... toh pehla khoon insaaniyat ka behta hai ... fasaad ki aag jahan bhi lagti hai ... usmein saare ghar begunahon ke jalte hai ... khoon ki Holi khelte toh hai dushman ... lekin rang mazloomon ke lahu ka bahaya jaata hai
Aaj jee bharke mandir ke samne sar tek le ... iske baad yeh magroor sar na uthne ka kabil rahega na jhukne ke kabil
Hum yahan se door aur kahin upar behte hue taqdeer ke likhne waale ko nahi maante ... hum uska likhne waala kalam todh bhi sakte hai ... aur kalam se likhi hui taqdeer badal bhi sakte hai
Laundiya bhi garam hai aur malai ki tarah naram hai
Is ghar mein us waqt tak koi khushi nahi ho sakti ... jab tak hum dushman ke ghar mein khushiyon ke chiragon ko gham ke andheron mein na badal de
Yahi toh kamaal hai mohabbat ka ... woh insaan ko zulm ke andhere kuye se nikalkar aasman ki us chaukhat tak pahuncha deti hai ... jahan suraj bhi roshni ki bheek mangne aata hai
Zakhm teri chaati mein hoga ... aur khoon mere dil se bahega
Is ghar ko aag lag gayi ghar ke chirag se ... baat teri meri ban gayi tere dimaag se
Waqt ki chakki mein ek din zameen aur aasman pis jayenge ... lekin mohabbat ka nagma goonjta rahega ... hamesha goonjta rahega
Pyar woh sachai hai jiski dor mein sari duniya bandhi hui hai
Yeh toofan toh soo raha tha aman ke badalon ko apna takiya banakar ... isse jagaya bhi tumne hai aur uthaya bhi tumne
Tum bahut khush kismat ho ... joh aaj tumne Shaka ki sirf muskurahat dekhi hai ... maathe pe padhe huye woh bal nahi dekhe ... joh zindagi ke khet mein maut ke hal chala dete hai
Mere andhar joh toofan uth raha hai is waqt ... jee chahta hai duniya ke saare diye bhuja doon ... mere dil ke andhar joh chitta jal rahi hai is waqt ... usmein sirf tumhari hi nahi, iski laash bhi chahiye
Aag se aag nahi bujhti ... naa hi zulm se zulm ka khatma ho sakta hai
Mohabbat ke sailaab ke samne har deewar toot jaati hai
Upar waale se dua maango ki duniya mein joh bhi toofan aaye sar se guzar jaye tumhare ... lekin is aandhi se tumhara paala kabhi na padhe
Isaaniyat ka dhood pilane se saanpon ka zehar aur badhta hai
Tum Shaka ko zanjeeron ka jaal toh pehna sakte ho ... magar hamesha ke liye usse bandkar rakh nahi sakte
Insaaniyat inteqam nahi ... insaaf chahti hai, aman chahti hai

No comments:

Post a Comment