Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Friday 22 July 2016

Kala Bazaar Dialogues | Bollywood Action Film | Dialouges Status

Kala Bazaar Dialogues | Bollywood Action Film

Is rishwat ke samaaj mein agar izzat ki zindagi guzarni hai ... toh apna seena cheerkar, apne zameer ka katal karke, apni rooh ko maarke ... uski laash ko rishwat ke kadmo mein dalna padta hai ... tab jaakar insaan yeh zindagi guzaar sakta hai
Tadbeer ki syahi se insaan apni taqdeer ki likhai ko badal sakta hai
Ya rab kahin se ishq ka bazaar bhej de ... dil bechta hoon, koi khareedar bhej de
Pandhra saal ki padhai ke baad university yeh joh degree milne ka certificate deti hai na ... yeh naukri milne ka certificate nahi ... balki thokarein khane ka certificate hai
Baimaani, kala bazaari, rishwatkhor log lakh gaaliyan sunkar bhi aasani se is duniya mein jee lete hai ... magar joh log sachche hote hai na ... woh jhoote ilzaam ka ek shabd bhi nahi sun sakte hai
Is duniya mein agar koi sharif aadmi pakda jaye, toh usse bachane ke liye koi aage nahi aata hai ... lekin agar ek baimaan aadmi pakda jaye, toh usse bachane ke liye hazaaron aadmi khade ho jaate hai
Jis pyar ko samajhne ke liye shabdon ka sahara lena padta hai na ... woh pyar bahut kamzor hota hai
Meri pahunch Delhi se lekar shamshan ghat tak hai ... awaaz Delhi tak jaati hai aur dushman shamshan tak chala jaata hai
Dukh ke andhere ka seena cheerne ke liye ... mann mein vishvas ke suraj ka hona bahut zaroori hai
Meri maa ke haath ka banaya halwa ... ajab hai uska jalwa
Aadmi jitna ganja hota hai, utna maaldaar hota hai
Kaale bazaar ke andhere mein kisi ki shakal nazar nahi aati ... na kanoon ki, na sachchai ki, na rishteydaro ki aur na aulad ki

No comments:

Post a Comment