Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Saturday 30 July 2016

Mrityudaata Dialogues | Bollywood Drama Film | Dialouges Status

Mrityudaata Dialogues | Bollywood Drama Film

Zabaan kabu mein rahe toh zabaan rehti hai ... bekabu ho jaye toh kataar bankar ki masoom begunah ka seena cheer sakti hai
Insaaf bik raha hai, emaan bik raha hai ... bazar sa laga hai, samaan bik raha hai ... is Ram ki dharti par Ravan ka raj hai ... kanoon thak chuka hai, napunsak samaaj hai ... har modh par yahan toh insaan bik raha hai ... bazar sa laga hai, samaan bik raha hai ... noton ke naam par, kahin voton ke naam par ... tirthon ke naam par, kahin dharamon ke naam par ... lag rahi hai boliyan, bhagwan bik raha hai ... bazar sa laga hai, samaan bik raha hai ... manavta lut rahi hai, khamosh hai vidhata ... dharti par badte paapon ko mitaane ... janam kyun nahi leta koi mrityudaata
Hamara raaj aur tumhari neeti ... in dono ke gathbandan se hi chalti hai tumhari raajneeti
Maut ho aaisi jisse sara zamana yaad kare ... yun toh aate hai sabhi is duniya mein marne ke liye
Sachai dimaag ka darwaza khat-khatati toh hai magar uski dastak sunai nahi deti
Joh log apna pasina bahakar desh ka muqadar banate hai ... unke bachche toh rotiyon ke liye taraste hai ... aur tum log joh kursiyon par behetkar desh ke muqadar ka faisla karte ho ... apne aulad ki shaadiyon mein karodon rupai lutate ho ... kahan se aati hai daulat?
Kauva agar Kashi bhi ho aaye toh bhi "kav-kav" hi karega ... "Ram-Ram" nahi
Ek baar ghulami se peecha chhudaya tha hamare buzurgon ne ... toh kya aaj hum phir ghulam ban jayenge? ... chand aaise gaddar netaon ke haathon mein desh ki bhaag-daur ko saunp denge ... jinki gaadiyan bullet-proof, kapde daag-proof, kaan sound-proof aur aankhen sharam-proof? ... bolo, jawaab do!
Raajneeti ka zehar, dharam, jaati aur basha ka glucose bana karke do kaumon ki ragon mein bhar dete ho ... aur phir apne mahalon mein behet karke janta ki khoon ki holi ka tamesha dekhte ho

No comments:

Post a Comment