Zakhm Dialogues | Bollywood Drama Film
Duniya ka koi bhi dharm ... ek bete ko apni maa ki aakhri ichcha poori karne se nahi rok sakta.
Meri pehchaan tum dono ki zindagi mein ek zakhm hai.
Maa aur mulk badle nahi jate.
Hamari zindagi hamari hote huye bhi hamesha hamari nahi hoti hai ... hum mein woh zindagi bhi jeeni padti hai jise jeene ki log humse umeed karte hai.
Baat dushman ne kahi hai ... par baat bilkul sahi hai.
Jab bura waqt aata hai na ... insaan ko apne kadh se ooncha sochna chahiye.
Aandhi jab chalti hai na ... toh haath chhodne ka nahi, haath thaamne ka waqt hota hai.
Aakhri waqt pe toh dushman bhi saath deta hai.
Arey bewakoof, kuve ka pani peena hai toh jaake kuve pe pee ... ghar mein kyun kuva khod raha hai tu?
No comments:
Post a Comment