Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Thursday 7 July 2016

Zamane Se Kya Darna Dialogues | Bollywood Film | Dialouges Status

Zamane Se Kya Darna Dialogues | Bollywood Film

Main kaam ko puja maanta hoon ... aur kaam karne wali jagah ko swarg.
Naukar maalik par ehsaan nahi ... sirf namak ka farz ada karta hai.
Joh insaan wafaadar aur gaddar mein fark nahi samajh sakta ... woh maalik hone ke layak nahi ho sakta.
Train mein safar kiya, plane mein safar kiya, caron mein safar kiya ... magar kisi bhi safar ka itna mazaa nahi aaya jitna in baahon ke safar mein aa raha hai.
Kichad uchhalne par kichad hi milta hai.
Is dharti par aisa koi ghoda paida nahi hua ... jiski savari main nahi kar sakta.
Zindagi aur maut ka faisla toh uparwaale ki kalam se hua karta hai ... aap jaise rayeeso ki bandook se nahi.
Ghoda jitna bhi adyal ho ... uspar savari karne ka utna hi mazaa aata hai.
Buzurgo ka aashirwad hi duniya ki sabse badi daulat hai.
Pyar ka badla pyar aur dosti ka badla dosti ... yeh mera usool hai.
Chaddi mein kar dena, dhoti mein kar dena ... magar raaste mein kabhi nahi karna.
Aajkal logon ko aisa accountant chahiye ... joh hisaab barabar bhi rakhe aur zaroorat aane par hisaab barabar bhi kar sake.
Kichad toh kisi bhi sabun se dhul sakta hai ... lekin tumhare dimaag mein joh amiri ka kichad bhara hai na ... woh kisi sabun se nahi dhul sakta.
Bhairav Singh jahan jata hai ... tabaahi ka toofan aata hai.
Roohein toh kamzarf aur buzdil insaanon ki kaapti hai.

No comments:

Post a Comment