Zanjeer (1973) Dialogues | Bollywood Action Film
Sher Khan aaj ka kaam kal par nahi chodta.
Jab tak baithne ko na kaha jaaye sharafat se khade raho ... yeh police station hai ... tumhare baap ka ghar nahi.
Khaane ke saath cigarette peena bahut buri baat hai.
Aaj ke baad apne aadmiyo se keh do ki hamesha tumhare nazdeek rahe ... kyun ki tumhari nazdeek ki nazar kamzor hai.
Kuch logon ke liye tumhare dil mein itni nafrat bhar gayi hai ... ke pyar ke liye tumhare dil mein zara bhi jagah nahi bachi.
Sher Khan ne shaadi nahi ki toh kya hua ... lekin baaraatein bahut dekhi hai.
Baarah junglee kutte milkar sher ko maar daalte hai.
Joh haath angaare ko chupaye ... angaara us hi haath ko jalaa deta hai.
Achche khareedar hamesha sauda karne se pehle ... doosre ki keemat ka andaza lagate hai.
Apni umar se badhkar baatein nahi karte.
Kutta jab pagal ho jaata hai toh usse goli maar dete hai.
Sher Khan khud aaya tha khud chala jayega.
Chillaaoo nahi sahab ... gala kharab ho jayega.
Kal subah tak tumhare sab juakhane aur kaale dhandhe band ho jaane chahiye.
Aaj zindagi mein pehli baar ... Sher Khan ki sher se takkar hui hai.
Is ilaaqe mein naye aaye ho sahab? ... varna Sher Khan ko kaun nahi jaanta.
Sher Khan kaale ka dhanda karta hai ... lekin imaandari se.
Jis tarah kuch aadmiyo ki kamzori baimaani hoti hai ... is hi tarah kuch aadmiyo ki kamzori imaandari hoti hai.
Hum aaya tha karza lene ke liye ... par tumne Sher Khan ko khareed liya.
Aao Vijay, baitho aur hamare saath ek scotch piyo ... hum tumhe kha tohdi jaayenge ... vaise bhi hum vegetarian hai.
No comments:
Post a Comment