Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Monday 1 August 2016

Narsimha Dialogues | Bollywood Action Film | Dialouges Status

Narsimha Dialogues | Bollywood Action Film

Eent aur patthar jawab dene ke liye nahi hote ... ghar banane ke liye hote hai
Haveliyon ke farmaan ab kanoon nahi hote ... Hindustan azaad ho chuka hai
Kuch raaston par sirf akele hi jaya ja sakta hai ... sirf akele
Joh ilzaam kisi ki zindagi tabah kar sakte hai ... woh ilzaam sirf saboot ke saath hi lagane chahiye
Hum mein apni hifazat ke liye ... khareede hue gunday rakhne ki aadat nahi hai
Jab taqat andhi ho jati hai ... toh woh taqat nahi vaishat ban jati hai
Mujhe koi nahi maar sakta ... na aage se, na peeche se, na daayen se, na baayen se ... na aadmi, na janwar, na astra, na shastra
Bhatka hua insaan, aag ki bhatki hui lapton jaisa hota hai ... inka koi rukh, koi disha nahi hoti
Main jab bhi karta hoon, insaaf hi karta hoon
Mera farmaan aaj bhi iss shehar ka kanoon hai
Mujhe padna aata hai ... joh shabhdon mein likha hai woh bhi ... joh shabhdon mein nahi likha hai woh bhi
Joh janta ko pair ki jooti samajhta hai ... woh ek din zaroor janta ke joote khata hai
Har jooti yeh soochti hai ki woh pagdi ban sakti hai ... magar jooti ki kismat hai ki usse pairon tale raunda jaye ... aur pagdi ka haq hai ki usse sar par rakha jaye
Arre kahan shaitan ke ghar mein Satyanarayan ki puja rakhne ki baat kar raha hai yeh
Aadmi koi patthar nahi hai ki ek baar jaisa ban gaya, zindagi bhar waisa hi bana rahega

No comments:

Post a Comment