Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Thursday 4 August 2016

Prem Aggan Dialogues | Bollywood Drama Film | Dialouges Status

Prem Aggan Dialogues | Bollywood Drama Film

Aurat ke pyar ko kabhi seene mein itni jagah mat do ... ke dil ke liye dhadakna mushkil ho jaye
Andha bhi maut ke ehsaas se ghabrata hai ... tu toh aankhon ke hote hue khud hi maut ke mooh mein chala aaya
Sacha sipahi kabhi hisaab nahi lagata ki desh ne usse kya diya hai ... woh hamesha yahi sochta hai ki usne apne pyare desh ke liye kya kiya hai
Aurat ke inhi hoton ne lakhon ghar barbaad kiye hai ... aabad kiye hai toh sirf veerane, maikhane, qaid khane aur pagal khane
Jung aur mohabbat mein hamesha do kadam aage badate hai aur ek kadam peeche hatate hai ... taaki hamesha ek kadam aage rahe
Taqdeer hi zindagi mein ek aaisi adalat hai ... jis mein na kabhi sunwai hoti hai, na koi ilzaam saabit kiya jaata hai ... bas faisle sunaye jaate hai
Daurate raho jisko ban jaati hai aadat woh ... chahe woh ibaadat ho, chahe woh mohabbat ho
Is haramzade ko itni berehami aur bedardi se khatam karo ... ki agla janam lene se pehle iski rooh ... zindagi aur dharti ke naam se kaanp uthe
College ki zindagi hai badi rangeen ... par isse sangeen banane waali sirf do hi cheezein hai ... permission aur restriction ... jinke baap ka naam hai discipline
Handsome aur beautiful mil jaye ... toh samajho phool ko khushboo mil gayi aur khushboo ko phool
Humko aata hi nahi maut se darna yaaron ... hum toh toofan ko samajhte hai khilona yaaron
Mera mooh chota hai, khopdi badi ... is liye kam bolta hoon aur maarta zyada hoon
Kaun kehta hai ki main nahi chakhi, kaun jhoothi kasam khata hai ... mehkade se joh bach nikalta hai, teri aankhon mein doob jaata hai
Ladai ke maidan mein dushman kitna bhi khatarnak kyun na ho ... zakhmi sipahi apni jung khud hi ladta hai
Jab do jism milte hai toh jazbaat ki aag se ... mohabbat ke sholay uthkar aasmaan ko chu lete hai
Kismat aur aurat ka koi bharosa nahi ... jaane kab badal jaaye
Tumne ek hi raat mein ek awara ladki ki tarah ... apne khandan ki izzat, gairat, sharm aur sharafat ko havas ki chakki mein pees dala
Main maut ke darr ko jeb mein rakhkar jeeti hoon ... aur chahati hoon ki koi jeb kaat le taaki yeh darr bhi nikal jaye
Jab tak saanp ka sar na kuchal do ... usse mara hua mat samajho
Hamari mohabbat mein itni taqat zaroor hai ki maut ka chehra dekhkar ... hum duniya ko apni dastaan sunane ke liye zinda rahenge
Haisiyat shakhsiyat se banti hai
Sapne dekhna bhi zaroori hota hai ... insaan ne chaand par kadam bad mein rakha tha ... chaand par pahunchne ka sapna pehle dekha tha
Raftaar aur pyar ki koi hadh nahi hoti
Mohabbat ko daulat aur rutbe ke tarazu mein nahi tola jata
Mujhe woh haseen dard dedo jisse aaj ke baad main kisi doosre ke saath na baant sakun ... aur mera yeh jism sirf tumhari amanat bankar reh jaye
Zakhm gehra ho yah mamuli ... ab toh har zakhm achcha lagne laga hai

No comments:

Post a Comment