Saas Bhi Kabhi Bahu Thi Dialogues | Bollywood Drama Film
Meri zabaan se ughla hua zehar bhi amrut ban jaata hai
Insaan jab aadmiyon se mayoos ho jaata hai ... toh phir kutte aur billiyon se pyar karne lagta hai
Maya Devi toh meri bachpan ki saheli hai ... hum ek doosre ke naakhun tak pehchante hai
Hai Ram kya waqt aa gaya hai ... maa ki shiksha ka amrut bhi beti ko zehar lag raha hai
Kavita toh atma ki khuraakh hoti hai ... achcha sher sunne ya kehne se dil aur dimaag saaf ho jaate hai
Har saas yeh bhool jaati hai ki woh bhi kabhi bahu thi ... aur har bahu yeh bhool jaati hai ki usse bhi ek din kisi ki saas banna hai
Zindagi bhar nahi bhoolegi woh barsaat ki raat ... maine jab pakda tha kambakht teri saas ka haath
Duniya mein kisi ko gaali dena shayad paap na hoga ... lekin gareeb ko baar baar gareeb aur mohtaj ko baar baar mohtaj kehne se bada kukarma aur koi nahi hai
Mohabbat ek tam-tam hai joh daudai nahi jaati ... bhadak uthti hai apne aap hi, bhadkai nahi jaati
Purani haddiyan badi mazboot hoti hai
Agar aadmi ko galati karne ka adhikar hai ... toh galati karke pachtane ka haq bhi hai
Mohabbat ko mile aasoon wahan se ... sitare banke aate hai jahan se
Nagan khubsoorat hoti hai ... par das bhi deti hai
Meri chaati par aakar toh saanp bhi rassi ban jaata hai
Saas kisi ki bhi ho ... sab ek jaisi hoti hai
Khoob phulegi phalegi beti Harparsad ki ... baap ne toh karke shaadi zindagi barbaad ki
No comments:
Post a Comment