Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Wednesday, 10 August 2016

Sanam Bewafa Dialogues | Bollywood Thriller Film | Dialouges Status

Sanam Bewafa Dialogues | Bollywood Thriller Film

Anjaam unka wahi hoga joh tu chahta hai ... lekin hoga vaise jaise hum chahte hai
Ek pahaad ka naam hai Sher Khan ... aur pahaad na kisi ke samne chalkar jaate hai ... na kisi ke samne jhukte hai
Ek baar aasman se giri hui bijliyan vapas laut sakti hai ... toofan apna rukh badal sakta hai ... lekin is Sher Khan ka faisla kabhi nahi badal sakta
Joh khoon peena jaante hai ... woh aasoon bhi pee jaate hai
Apne guroor ko zinda rakhne ke liye ... hamari masoom mohabbat par apni dushmani ka aaisa koi kila mat bandiye ... jiski buniyaad aapko khoon ki nadiyon par rakhni padhe
Talwaron se khelne waale motiyon se khelne lage ... toh unki taqaton ko zung lag jaata hai
Awaaz toh teri ek din main neechi karoonga ... sher ki tarah garajne waala ... billi ki zabaan bolega
Hamare dil mein chupe nafrat ke angaaron aur hawa na de ... varna tu is aag mein jalkar raakh ho jayega
Sabse pehle apni akad aur apni zid ki jhadon ko aag laga ... varna dukhon ke aaise badal mandrayenge ... ke is ghar mein aasoonyon ke sailaab aa jayenge
Beti ke rishtey kaanch ka khilona nahi hote ... jinse dil bahel gaya aur todkar ghar ke bahar phek diya
Bandookon aur talwaaron se sirf insaanon ka khoon behta hai ... faisle nahi hote
Khoon bahane se rishtey tootte hai
Jab hamari tarah pachpan ke ho jaoge ... toh aaisa bachpan ka sawaal nahi karoge
Duniya hum mein kehti hai Salman Khan ... hum aapko kis naam se pukarein meri jaan?
Sher Khan woh heera hai, joh gale se lag jaaye toh haar hai ... aur gale se utar jaaye toh talwar hai
Aan ke samne jaan ki keemat kuch bhi nahi
Jis tarah reghistaan mein pyasa, ek ek boond pani ke liye tadap tadapkar apna dum todhta hai ... ussi tarah Fateh Khan hamare inteqam se tadap tadapkar apni ek ek saans todega

No comments:

Post a Comment