Duniya mein asli shanti kisi ke sache pyar mein hi mil sakti hai ... uske bagair duniya jise shanti kehti hai, woh shanti ek thakan hai ... shakast ya maut ka doosra naam hai
Jab kashti jawani ke kinare par aa jaye ... toh wahan aadmi nayi awaazon se pyar karne lag jaata hai ... wahan usse shaadi ke baaje sunai dete hai ... phir usse pichle kinare ki awaazon ka khayal nahi karna chahiye
Zindagi aur waqt ka dariya aaisa hai ... aadmi ek baar usse laang jaye toh phir kabhi vapas nahi aa sakta
Main kisi se nahi darta ... main zindagi se nahi darta, maut se nahi darta, andheron se nahi darta ... darta hoon toh sirf khoobsurati se
Jab dil se dil ki shaadi hoti hai na ... toh us mein na baraatiyon ki zaroorat hoti hai na kisi aur cheez ki ... us mein tamannao ki baraat nikalti hai aur khushiyon ki
Din ke waqt toh phool achche lagte hi hai ... magar chandni mein dekhiye toh yun lagta hai ... jaise nanne nanne shokh farishtey door ke dariya mein tairte phir rahe ho
No comments:
Post a Comment