Phool khilte hai, bahaaro ka samaa hota hai ... aaise mausam mein hi toh pyar jawan hota hai ... dil ki baaton ko hooton se nahi kehte ... yeh fasaana toh nighahon se bayaan hota hai
Main apne mulk ko apna ghar samajhta hoon
Kuch hosh nahi rehta, kuch dhayan nahi rehta ... insaan mohabbat mein insaan nahi rehta
Dawa bhi kaam na aaye, koi dua na lage ... mere khuda kisiko pyar ki hawa na lage
Hamare ghav bahut gehre hai ... woh itni aasani se nahin bharne waale
Milte hi nazarein dil milaya nahi jaata ... aagaaz ko anjaam banaya nahi jaata
Tum jaise log dushman hote hain sari insaaniyat ke
Phir kabhi kisi Salim se mat kehna ... yeh mulk uska ghar nahi
Ek baar zabaan dene ke baad agar kal ko kuch ho gaya na ... toh main teri zabaan kheench loonga ... phir tu kisiko jaan toh de payega, lekin zabaan nahi de payega
Arre janaab, aaj kal toh music companyon ko ghazal ki dhun bhi disco jaisi chahiye
No comments:
Post a Comment