Shaadi Ka Laddoo Dialogues | Bollywood Drama Film
Agar koi mard kisi doosri aurat ko nahi dekhta hai toh phir woh dikhava kar raha hai ... ya phir uski biwi usse yeh dikhava karne par majboor kar rahi hai
Cigarettes aur zindagi mein kafi similarities hoti hai ... jaise ki cigarette ki is aag ko hi dekh lo ... log har kash ke saath is aag ko apne kareeb kheenchne ki koshish karte hai ... aag jitni aage badti hai cigarette utni ghatati hai ... aur zindagi jitni badhti hai utni ghatati hai, jitni badhti hai utni ghatati hai ... aur aaise hi zindagi katati hai
Zindagi mein kabhi kabhi dil se soochna chahiye ... lekin zindagi ke mathematics mein hamesha dimaag se soochna chahiye
Pyar sardi ke us dhoop ke tukde ki tarah hota hai ... jab tak rehta hai toh dil ko bahut sukoon deta hai ... aur phir ek din chala jaata hai insaan ko us ehsaas ke saath jeene ke liye ... akela chhodkar
Apne banaane se bante hai
Happily married? ... aadmi ya toh sirf happy ho sakta hai ya married ... dono cheezein ekhatti nahi ho sakti ... impossible
Waqt nahi beetta ... insaan beetta hai
Zindagi akele kaatne mein no fun ... koi na koi saathi hona chahiye ... joh tumhare samajh mein aaye aur jise tum samajh sako, woh saathi ... aur us saathi ke saath jitne pal guzaar liye ... that's life
Zindagi ko kuredne se zung laga dil hi milta hai aur kuch nahi
Har aadmi ko ek baar shaadi zaroor karni chahiye ... kyun ki har shaadi-shuda aadmi seedha swarg mein jaata hai ... (kaise) ... kyun ki narak se toh woh guzar chuka hota hai
Accomplishment and success often is a result of perseverance and commitment ... rather than skill and talent
Paas ho toh pyar karte hai ... door ho toh pyar ki baatein
Joh log aaish karte hai woh ash ban jaate hai
No comments:
Post a Comment