Rishtey mein to hum tumhare baap hote hai ... naam hai Shahenshah
Shahenshah jahan khade ho jaate hai ... wahin darbar lag jaate hai
Duniya ki koi jagah itni door nahi hai jahan jurm ke paon mein kanoon ... apni faulaadi zanjeeren pehna na sake
Zakhm dene waala bhi wohi hai, bharne waala bhi wohi hai ... insaan toh sirf marham rag sakta hai
Yeh sachai ka bazaar hai ... yahan usool na beche jaate hai ... na khareede jaate hai
Main yeh toh jaanta tha ki aurat agar apne makaam se uthe toh devi ban sakti hai ... magar yeh nahi jaanta tha ki agar girne pe aaye toh aap jaisi nagin bhi ban sakti hai
Chaand ko apni chaandni sabit karne ke liye ... chiragon ki shahadat ki zaroorat nahi padhti
Main kanoon ka baazu nahi khud kanoon banonga ... aur aaisa kanoon joh khud mujrimo ko pakdega, khud mukadma sunega ... aur unka faisla bhi khud karega
Tip baad mein dena toh ek rivaaz hai ... pehle dena achchi service ki guarantee hai
Budhapa jab jawani ka intezaar karta hai ... toh bahut intezaar karta hai
Shehar mein koi aaisa raasta, koi chowk, koi aasia naka nahi bacha tha ... jahan par katilo ne hum par goliyo ki barsaat na ki ho
Sachai apna saboot kudh hoti hai
Mujhe malum hota aaisa kalank mere ghar mein pehda hone waala hai ... toh main apne nakhoono se apni kok phad dalti
Aaj sharaab ki lehren baha do ... joh bhi aaye tumhare bar mein usse whiskey se nehla do
Desh mein do kanoon nahi ho sakte hai ... ek gareebo ke liye, doosra ameero ke liye
Tum apni haddi pasliyan achchi tarah ginke rakhna ... kahin hawalat ke andhar jaate hue aur hawalat se bahar aate hue ... tumhari ginti mein farak na padh jaaye
Joh baant ke khaate hai ... unki sehat achchi aur umar lambi hoti hai
Jis din main koi gori titli dekh leta hoon na ... mere khoon mein sehkado kaale kutte ek saath bhaukne lagte hai
Jaan hum tumhari aaisi bhikharan bana denge ... ki maut bhi uski jholi mein bheek nahi dalegi
Tumne police ki vardi kahan pehan rakhi hai ... yeh toh ek kafan hai joh tumhare zameer ki laash ne pehan rakha hai
Aaj hum tumhare andhar chupe hue tamaam kaale kutte bahar nikalkar ... tumhara ghost nochne ke liye tum hi pe chhod denge
Business mein laga hua rupaiya ... saanp ke daanto mein phase hue mendhak ki tarah hota hai
Har reporter ki tarah meri ragon mein bhi khoon ki jagah roshnai behti hai ... aur jab tak woh roshnai behti rahegi ... mera kalam sachai likhte hue kaanpega nahi
Joh achcha tairakh hota hai na ... woh toofani lehron mein beh nahi jaata ... balki unhi lehron ko apni naav bana leta hai
No comments:
Post a Comment