Sharmeelee Dialogues | Bollywood Romance Film
Hawa badal gayi hai aaisi kuch zamaane ki ... duayen maangta hoon hosh mein aane ki
Jee haan baza huzoor kiye ja raha hoon main ... aur maska laga lagake jeeye ja raha hoon main
Gulshan parast hoon mujhe gul hi nahi aziz ... kaanto se bhi nibah kiye ja raha hoon main
Chaman mein ikhtalat-e-rangboo se baat banti hai ... hum hi hum hai toh kya hum hai ... tum hi tum ho toh kya tum ho
Zara si der ho jayegi toh kya hoga ... ghadi ghadi na uthao nazar, ghadi ki taraf
Haya se sar jhuka lena, ada se muskura dena ... haseeno ko bhi kitna sehal hai, bijli gira dena
Lajja hi stri ke mann ka darpan hota hai
Joh kali dulhan bani hai woh chaman ki jaan hai ... par dahej joh kuch mila hai, jung ka samaan hai ... aap meri toop hai aur sasur captaan
Khilte hai gul yahan khilke bhikharne ko ... milte hai dil yahan milke bichadne ko
Chup nahi sakti chupane se mohabbat ki nazar ... chahane waale bhi rakhte hai qayamat ki nazar
No comments:
Post a Comment