Tumhare seene mein joh dil hai woh Hindustani hai ... aur Hindustani dil awaara nahi hota ... yeh chahta toh sari duniya ko hai, lekin mitta kisi Hindustani par hai
Hindustan mein badhe buzurgh ... mubarakbad nahi aashirwad dete hai
Main contract sirf khoon karne ka leta hoon ... mohabbat ke khel khelna ka nahi
Main contract lete waqt paisa dekhta hoon ... paise dene waale ko nahin
Insaan mar jaate hai ... magar awaazein kabhi nahin marti
Joh desh ke liye jaan dete hai woh shaheed kehlate hai ... joh desh ke liye jaan lete hai woh kaatil nahi ... soldier kehlate hai
Mera ussool hai ... aadmi khatam, kaam khatam
Kaam loafer ke aur baatein soldier ki
Tum logon ko na chitta ki aag milegi ... na dharti maa ki godh
Desh ki raksha karne ki shapat lekar desh ko lootne waalo ... tumhare jism par is vardi ka hona is vardi ka apmaan hai
Aaj ke zamaane mein sher sirf do hi jagah hifazat se reh sakte hai ... ek circus mein aur doosra chidiya ghar mein
Kapde Rita ke aur baatein Sita ki
Woh vidhva suhagan se oonchi hoti hai ... jiska pati desh ki aan par shaheed hota hai
Josh mein kaam karne waale yah toh mitti ke neeche hote hai ... yah lakdiyo ke upar
Toop aur tanko se khelne waale fauji ... police ke tamancho se darra nahi karte
Suraj ke aakash mein doobne se log nahi soote ... sarhado par jab hum jaagte hai, tab desh chain ki neend sota hai
No comments:
Post a Comment