Souten Dialogues | Bollywood Drama Film
Main woh bala hoon joh sheeshe se patthar ko todhta hoon
Main is jhoot ko itne bade sach mein badal doonga ... ki woh sach ke sivah aur kuch nahi rahega
Shaadi janam janam ka bandhan hai ... aur yeh bandhan swarg mein hi tay ho jaata hai
Main woh bala hoon joh jooton se tum jaise kutton ke sarr phodta hoon
Jab tum tana maarte ho ... toh teer ki tarah aar paar ho jaata hai
Puja ke diye se agar haath jal jaaye ... toh woh jalan bhi chandan jaisi thandak deti hai
Nange halaat ko alfaazo ki poshaak se dhakne ki koshish mat karo
Doosro ki daulat ke pankh logon ko gharon se dur le jaate hai ... aur yeh pankh jinhe lag jaate hai ... woh wapis ghar lautkar kabhi nahi aate
Kanoon ki koi bhi kitaab zindagi ki kitaab se badhkar nahi ho sakti
Tumhari khushi ke liye ... jeena hi meri zindagi hai
Pati ke liye patni punya ka saathi hoti hai
-
No comments:
Post a Comment