Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Saturday 20 August 2016

Yamraaj Dialogues | Bollywood Action Film | Dialouges Status

Yamraaj Dialogues | Bollywood Action Film

Dil todke bhikra diye jaate hai ... joh toot nahi sakte woh thukra diye jaate hai ... jadh kitni bhi gehri ho mushkil hai khade rehna ... joh pedh nahi hai phalte woh katva diye jaate hai
Tumne kursi ko kabhi gaur se dekha hai ... kursi ke haath hote hai, paon hote hai, peeth hoti hai, magar kursi ka dil nahi hota ... yeh kursi dilwaalon ki nahi, jigar waalon ki rakhail hai
Aapke shehar ka mausam bada suhana lage ... ek lamha chura loon agar bura na lage
Hum woh dariya hai hum mein maloom hai apni taqat ... hum jahan chal padenge rasta ho jayega ... chalna hai toh chalo varna jao bhaad mein ... tu nahi mila toh koi aur ho jayega
Aksar log school mein padhte hai aur padhate hai ... lekin bahut kam log hote hai joh apne aap mein school hote hai
Toofan mein toh hum khushi se jaate hai ... yun jhoomkar marte hai ki jee jaate hai ... tum toh woh ho jisse samundar kha jaata hai ... arre hum toh woh hai joh samundar ko pee jaate hai
Jis tarah husn aane se nazakat aa jaati hai ... ussi tarah mardon mein haisiyat aane se guroor aa jaata hai
Zamane ki nazarein hai mere gunahon par ... kisi ko apna chehra bhi dikhai deta hai, nahi ... tum jahan hote ho wahan hote hai khoon aur laash ke saude ... phir bhi vardi par daag dikhai deta hai, nahi
Aye aasmaan tere khuda se nahi hai khauff ... aye zameen tere aadmi se darr lagta hai
Mar gaye toh mar gaye, iski hum mein chinta nahi ... jaan jaane ki jaaye, maut aane ki aaye
Saare devtaon mein yamraj hi ek aaisa devta hai jiske naam ke baad bhi kuch nahi lagaya jaata ... na ji, na babu ... aur na hi uske naam ke pehle shri lagaya jaata hai ... kyun ki yamraj apne aap mein ek poora naam hai ... yamraj sirf yamraj hai
Sher ki sawari ki sabse zyada dardnak baat yahi hoti hai ... ki jab bhi koi uski sawari se utarna chahta hai ... woh sher usse kha jaata hai
Sapnon ke haar goothne behti thi zindagi ... joh phool kam pad gaye toh kaante pe roh liye
Sar jiske aage na jhuke woh darwaza kisi aur ka hoga, mera nahi ... aur joh har darwaze pe jhuk jaye woh sar kisi aur ka hoga, hamara nahi
Sapna dekhne ka haq sabko hai ... lekin aaise sapne ki taraf mat bhaago joh tumhe khudkhushi ki taraf le jaye
Upar ke yamraj ko hukum dena padta ki woh kisi ki zindagi ko maut mein badal de ... lekin zameen ka yeh yamraj kisi ke hukum ka intezar nahi karta ... woh khud maut ka faisla karta hai

No comments:

Post a Comment