Yeh Lamhe Judaai Ke Dialogues | Bollywood Drama Film
Pyar ki buniyaad kisi ki madad ya sifaarish ki mohtaj nahi hoti ... yeh toh dilon se dilon ki dhadkan hai joh rishton mein badal jaati hai
Suhaagraat mein baraati nahi aate
Koi kisi ka nahi hota hai ... sab badal jaate hai ... sab chale jaate hai
Mere dil ko kare bekabu ... saajan tere pyar ka jadoo
Rishtey sirf jismon ke hote hai ... baaki toh sab khayal hai
Yeh eent patthar se makaan, chhat, deewarein toh ban sakti hai ... lekin ghar nahi
Woh insaan kamzor hote hai joh apni zindagi ko sasti auraton ke saath guzaarte hai
Dard bhi toh jism ka ek hissa hota hai
Har kamine ko apni izzat pyari hoti hai
Koshish kamyaab hoti hai ... aur vaade toot jaate hai
Kisi insaan ka yakeen bhagwan ke yakeen se bahut bada hota hai
Woh bhool gaya ke usne sher ke mooh mein haath daala hai ... ab main uska haath toh kya ... uska poora wajood mitta ke rakh doonga
Kuch log property banate hai aur kuch log property ka istimaal karte hai ... aur joh log property ka istimaal karte hai ... woh buddhiman hote hai
Izzat ka sabse zyada dhol joh hai na woh beizzat log hi peette hai
Insaan rutbe ya daulat se bada nahi hota ... insaan ka badapan toh uski namrata hai
Apun ka kaam imaandari ka hai ... aur inaam na milne par ... kabhi bhi dil baimaan ho sakta hai
No comments:
Post a Comment