Yodha Dialogues | Bollywood Action Comedy Film
Jab ek ki doosre se ranjish ho, usse dushmani kaha jaata hai ... aur jab do yodha mil jaye, usse jung ka elaan
Gunehghar aur mujrim ka rishta ya kanoon se hota hai ... ya phir bandook ki goli se
Chal padhe jidhar bhi ek pag ... chal padhe hazaron pag ussi aur ... gadh gayi jidhar bhi ek drishti ... gahd gaye hazaron drig ussi aur
Main goli aur boli dono zubaane jaanta hoon
Aaj main tujhe tab tak maaroonga ... jab tak tu apni arthi par letne ke kaabil nahi ho jaata
Maut roz toh nahi aati, sirf ek baar aati hai ... aur uska din aur samay bhagwan muqarar karta hai ... darwaaze pe cheekne waala dushman nahi
Dimaag ki charbi ke saath saath main badan ki charbi bhi nikal deta hoon
Noton ki gaddiyan mooh mein lekar bhaunkne waalon ki ... hum mein koi parwah nahi
Kisse, kab aur kaise ... is jahan se doosre jahan mein bhejna hai ... is baat ka faisla main karta hoon
Zindagi ke imtehan mein aaise mauke bhi aate hai ... jab insaan ko sachchai chupani padti hai
Kanoon tere haathon ka khilona hai ... khoon karna tera pesha hai ... gharon ko barbaad karna tera karam hai ... duniya mein makkari phailana tera dharam hai ... tu laathi se nahi goliyon ke dum par is duniya mein jee raha hai
Jis din sahi mauka mila main us haramzade ko barbaad kar doonga ... aur phir log meri izzat karenge, mere paas kursi hogi, taqat hogi ... kanoon mera ghulam hoga aur kanoon ki devi meri rakhail
No comments:
Post a Comment