Movies Dialogues - Watching Movies Whatsapp Status

Get latest collection of movies dialogues and watching movie status for whatsapp, facebook etc.

Tuesday 14 June 2016

Aan Milo Sajna Dialogues | Bollywood Hindi Film | Dialouges Status

Aan Milo Sajna Dialogues | Bollywood Hindi Film

Jhoot bolkar khud pachtane waala ... sach bolkar kabhi kisi ko pachtane nahi deta.
Ab mera rasta maut ki thokar bhi nahi rok sakti.
Main maut se nahi darti ... maut se usse darr lagta hai jise zindagi se pyar ho ... aur zindagi se usse pyar hota hai jise zindagi ne kuch diya ho.
Zindagi ki mushkil marke asaan nahi hoti hai ... himmat se asaan hoti hai.
Zameen toh kisi ke baap ki nahi hai ... zameen toh bhagwan ki hai, mehnat kisaan ki aur anaaj saare desh ka hai.
Agar duniya mein maut se badi sachai koi nahi ... toh sach maniye aapko dhoka dekar meri zindagi bhi maut se kam nahi.
Main janta hoon joh kuch bhi isne kiya usse koi maaf nahi kar sakta ... bhagwan bhi nahi ... lekin ek maa maaf kar sakti hai.
Is waqt meri maa, mera dharam, mera bhagwan ... joh kuch hai paisa hai.
Kanoon ka matlab agar mulzim ko sazaa dena hai ... toh begunah ko sazaa se bachana bhi.
Jise dost ka haath thaam le aur maa ka aashirwad mil jaye ... woh zindagi ki har manzil tay kar sakta hai.
Main jhoot bolkar bhi pachtai ... aur sach bolkar bhi pachtati rahoongi.
Jiyo toh sabke liye ... maro toh sabke liye.
Ek maa ke dil ka sabse bada armaan ... bete ka byah hota hai.

No comments:

Post a Comment