Desh Premee Dialogues | Bollywood Thriller Film
Taqdeer kabhi kabhi insaan ko apne hi desh mein pardesi bana deti hai
Tumhare raj mein toh zulm ke khilaaf awaaz uthana bhi jurm hai
Firangi sarkar ke pass koi aisi goli nahin joh ek desh premee ke seene ko paar kar sake
Sharafat ki chaddar oodne ke liye shareer nahin ... ek sharif atma chahiye
Joh log paisa kamakar apna imaan gavah dete hai ... woh daulat hote hue bhi fakiron se battar hai
Wahin ruk jao ... nahi toh bandook ki is kalam se tum logon ke seeno par maut ka naam likh doonga
Khoon bahane se nafrat badti hai ... faisla nahi hota
Baap ki arthi bete ke kandhe pe jaya karti hai ... bete ki arthi baap ke kandhe pe nahin
Jis tarah har jurm ka ek daag hota hai ... us hi tarah begunahi ka ek saboot bhi hota hai
Desh premee mara nahi karte ... amar ho jate hai
Baap ka joota agar bachche ke paon mein aa jaye ... toh phir woh bachcha nahi reh jata
Tumhari maa toh kohd se mar gayi bete ... magar is Bharat maa ko kohd mat hone dena
No comments:
Post a Comment