Muddha yeh nahi hai ki main jeeton ya haaron ... muddha yeh bhi nahi hai ki main jeeyon ya maar diya jaon ... muddha yeh hai ki ek police officer hone ke naathe mera joh farz hai ... usse mein imaandari se nibha raha hoon ya nahi ... ek insaan hone ne naathe satya ke liye, satya ki vijay ke liye main ladh raha hoon ya nahi
Shakti joh hai woh police, fauj, hathyaron mein nahi hoti ... desh ki shakti uske rajnaitik dhanche mein hoti hai, uski economy mein hoti hai, uski nyay pranali mein hoti hai ... samaaji barabari aur mazhabi bhai-chare mein hoti hai ... aur yeh sab kuch hum mein hamara samvidhaan hum mein deta hai
Kisi ek insaan ki jaan lena ... matlab puri insaaniyat ko maar dalna hai
Yeh desh hai toh samvidhaan hai ... desh nahi toh uske samvidhaan, uske kanoon ka koi wajood nahi
Tum ek saanp ko paal rahe ho ... aur tum usse jitna bhi doodh pilaoge woh tumhe hi dasega
Is desh mein politics hi sabse bada hathyara hai
Apni dharti se gaddari karna ... matlab apni maa ke saath gaddari karna
Zindagi ek yudh shetra hai ... samne vijay ho ya parajay ... yodha ka dharm hai ladna aakhri saans tak, khoon ke aakhri katre tak ladna ... zindagi ka arth armaan ... satya aur insaaf ke liye satatya sangarsh karte rehna bas aur kuch nahi
Politics mein afvayen bhi ek hathyar hoti hai
Farhan yeh mulk hamara hai ... jitna yeh Hindu ka hai utna yeh Musalman ka bhi hai ... Sikh ka bhi hai, Isahi aur Parsi ka bhi hai
Aadmi ki maut tab hoti jab woh ... beinsaafi ko dekh kar bhi uska virodh na kare, chup rahe
No comments:
Post a Comment