Don (1978) Dialogues | Bollywood Thriller Film
Don ka intezaar toh gyarah mulkon ki police kar rahi hai
Yeh tum janti ho ki yeh revolver khali hai ... main janta hoon ki yeh revolver khali hai ... lekin police nahin janti ki yeh revolver khali hai
Don ko pakadna mushkil hi nahin ... namumkin hai
Mujhe do tarah ki ladkiyan pasand nahi aati ... ek woh joh mere pass aane mein bahut derr lagaye ... aur ek woh joh bahut jaldi aa jaye
Jee chahta hai tujhe gande keede ki tarah masal doon ... magar main apne haath gande karna nahi chahta
Insaan apni burai chhod sakta hai ... lekin insaan ki badnaami hamesha uske saath rehti hai
Don zakhmi hai toh kya ... phir bhi Don hai
Insaan yeh jaan sakta hai ki chaand aur suraj mein kya chupa hai ... lekin yeh kabhi nahi jaan sakta ki ek ladki ke dil mein kya chupa hai
Mujhe junglee billiyan pasand hai
Neeche tumhari aunty bahut se uncles ko lekar aayi hai
Giraftaar hone ki aadat mujhe bilkul nahi hai
Is pistol ki goli se tumhare maathe par ek teesre aankh bana doonga
No comments:
Post a Comment