Garv Dialogues | Bollywood Drama Film
Main maut ko takiya, aur kafan ko chaadar banakar audhta hoon
Izzat se baat, izzatdar logon se ki jaati hai ... bhadwon se nahin
Ayanda mardon ki baraat lootne ... hijadon ki toli kabhi mat bhejna
Teri liye no chargesheet sirf D-final ... yani death final
Tu goli lena kaise pasand karega ... pani ke saath, sode ke saath, whiskey ke saath ... yah phir direct
Arjun kabhi marte nahin ... Arjun ladte hain!
Khoon ki holi aap jaise politicians khelte hain ... police nahin
Mere revolver se nikalne waali goli ... mujrim se uski zaat, ya uska mazhab nahin poochti ... ki woh Hindu hai yah Musalman
Tujhe kaandha dene ke liye ek aadmi bhi naseeb nahin hoga
Paiso ke liye aatankwadi ladte hai, sipahi nahi ... sipahi sirf apne vatan ki izzat aur mulk ki hifazat ke liye ladte hai
Main apna antim sanskar kar chuka hoon
Humne uski jamaad aur uska naam ration card se kaatna shuru kar diya hai
Tum jaise gundo ke liye ... police se bada gunda is duniya mein doosra koi nahi
Is umar mein jab haddiyan tootti hai ... toh badi mushkil se judti hai
Mujhe toh yahan har mard ki nazar mein sirf bhook aur havas nazar aati hai ... lekin Arjun ki nazar mein mujhe imaan aur izzat nazar aati hai
Is napunsak samaaj mein antim vijay ... sada asatya, adharm aur anyaay ki hi hoti hai
Sarkar badalte hi netao ko afsaro ka tabaadla karne ki purani bimari hai
Hamara Constitution karam pradhaan hai ... dharam pradhaan nahi
Apni atmaraksha mein goli chalana ... hamara manav adhikaar hai, hamara loktantrik adhikaar hai
Kyun ki bhagwan ek hi waqt har jagah nahi ho sakte na ... is liye unhone maa ko banaya hai
Hum joh kahenge woh aadesh hoga ... hum joh banayenge woh kanoon hoga
Agar tune un policewaalo ka koi game nahi kiya ... toh main teri puri nasal ka game kar daloonga
Tabaadlo se ilaake badalte hai ... iraade nahi
Jab beti badhi ho jaati hai ... toh maa ke seene ka bhoj badh jaata hai
Jodhenge todhenge, ladenge ladwaenge, dal banayenge bhigadenge ... par ek roz hi kursi par bahetke dikhayenge
Woh meri jagah doosre vyakti badal sakte hai ... hamare sankalp aur vichaar nahi
Mukadma sabooto aur gawaho se lada jaata hai ... bhashan-baazio, nautanki aur tamasho se nahi
Main tujhe is qaid mein ... har roz ek nayi maut maroonga
No comments:
Post a Comment