Husn ki taazgi pe ishq waale jaan diya karte hai ... mastiyan lootne se pehle yoon hi baat kiya karte hai ... roop ko chaand aur zulfon ko ghatta kehte hai ... karke tareef mazaa loot liya karte hai
Doodh dhari gaiyaan ki lattiyan aur bin byaahi chokariyan ki battiyan ... toh sehni hi padegi
Dushman jab humdard bankar aaye toh unki baaton se sachai nahi ... jhoot ki badbu aati hai
Aurat par dhauns jamane waalon ko mard se panja nahi ladana chahiye ... varna haal behaal aur zindagi janjaal ban jaati hai
Husn pariyon se chamak chaand se laya hoga ... shabhnami phoolon se honthon ko sajaya hoga ... zulf bhikre toh ghattaon ko paseena aaye ... badi fursat se tujhe rab ne banaya hoga
Bebas mohabbat jab baghavat karti hai ... toh duniya ki koi bhi taqat usse rok nahi sakti ... chahe woh aag ka dariya ho ya toofan ka samundar
Mazloomo ka maseeha, dushmano ke liye phanda ... seena hai faulad ka, naam mera Govinda
Jise jurm ka ehsaas ho jaye ... usse sazaa nahi, maafi milni chahiye
Naari agar dharti bankar sab kuch sehan karti hai ... toh qahar bankar barasti bhi hai
Khandan pe lage kalank pani se nahi ... khoon se dhoye jaate hai
Phatte toh phatte par position na ghatte
Jab janwar ko khoon ka chaat lag jaye aur gareeb ko ameeri ka mazaa mil jaye ... toh phir baat se nahi, haath se hi ilaaj kiya jaata hai
Jaise zinda ko dani pani ka zaroorat hai na ... us hi tarah murde ka antim sanskar ke liye kharcha pani ka zaroorat hai
Mere faisle se apne hairaan aur dushman veeraan hote hai
Mere jism par agar zakhm ho jaye na ... toh main usse marham nahi lagata ... usse kharochkar hi phek deta hoon
Jab tak phatte cheetre kapdo se gareebi na jhanke ... bhook se bhilagte log dikhai na de ... aur aag mein jhulasta aadmi nazar na aaye ... tab tak Hindustan ke kalakar ko vish award nahi milta
Dushmani nikalne ke liye dost banana bahut zaroori hai ... aur peeth par chura bhaukne ke liye gale milna bahut zaroori hai
No comments:
Post a Comment