Ghar Mein Ram Gali Mein Shyam Dialogues | Bollywood Drama Film
Tareef joh hai na woh ek promissory note ki tarah hai aur gaali hai ready cash ki tarah ... tareef karke kisi ko kharab karne se achcha hai ... ki gaali dekar usko sudhara jaye
Ek hi chhat ke neeche ek saath rehne waale alag ho sakte hai ... lekin ek hi ghar mein alag alag rehne waale kabhi ek saath nahi ho sakte
Naye pati patni jahan bhi akele ho ... usse apna bedroom bana lete hai
Izzatdar aur bazaru aurat mein sirf ek hi farak hota hai ... suhaag ki nishani mangalsutra
Aadmi aurat ko dokha dete waqt yeh bhool jaata hai ki ... jis din aurat apni aan par utar aaye woh aadmi ko jeete jee chalti phirti laash bana sakti hai
You came into my house that is god's nature ... sometimes I look at you and sometimes my furniture
Aurat woh shola hai joh pyar se aadmi ki zindagi ko roshan kar sakti hai ... aur agar nafrat kare toh uski zindagi ko jalakar raakh kar sakti hai
Pati rogi ho ya dhogi ho, yogi ho ya dhongi ho ... patni ka farz hai ki pati ke saath jeeye aur pati ke saath mare
No comments:
Post a Comment