Is sansar mein bheek le lo magar udhaar kabhi mat lo ... kyun ki bheek leke aadmi ek baar zaleel hota hai ... magar udhaar maangke subah shyam zaleel hota hai
Joh bhi kaam mile usse kar lena chahiye ... kaam koi chota nahi hota ... chota hota hai aadmi, uska dil, uski kartoot
Haath woh kalam hai joh aakash ke kagaz pe likhi hui taqdeer ko badal sakta hai
Aksar desi aankhon par videshi chasma lagane se ... dimaag mein charbi chad jaati hai
Badi tedhi hai yeh duniya ... yahan haqdaar ko bhi apna haq bheek ki tarah maangna padta hai ... anpad naukri maangne jaye toh usse degree lane ke liye kehte hai ... degree lekar jaye toh waseela lane ke liye kehte hai ... aur waseelay ke liye kisi ke paas jaye toh rishvat maangte hai
Daulat waalon ki duniya mein baimaani ka daakhla band hai ... baimaani agar aati hai toh noton ka naqab audkar imaandari ban jaati hai
Badhon ke mooh se nikli hui gaaliyan ... choton ko dua bankar lagti hai ... joh badhon ki daant kha leta hai ... woh zindagi ki thokarein nahi khata
Main woh khota sikka hoon ... joh dikhne mein toh ek anni hai lekin chalne mein rupaiya hai
Ghatiya sawaal poochna bahut aasaan hai ... lekin unka jawaab dena bahut mushkil ... joh tum jaisa ghatiya aadmi bhi nahi de sakta
Jis ghar sansar ki gaadi udhaar ke paiyon pe chalti hai ... woh subah shyam puncture hoti chali jaati hai
Bhookha rehkar aadmi ek baar marta hai ... lekin udhaar ki roti khakar baar baar marta hai ... hazaar baar marta hai
Jab tab ungli tedhi na karo, dibbe mein se ghee nahi nikalta ... aur jab tak tedha rasta na pakdo, bhigda hua sahi raste par nahi aata
No comments:
Post a Comment